dialogues for cast:
cast:
Jaldi jaldi shaadi karo aur phir aaram aaram se pachtao
Zindagi ko ab saalo ki jagah lamho mein ginana seekh lo
Har baal ki khaal ki yeh chaal bhi kha jaaye ... iske haath padh jaaye toh mahiney saal bhi kha jaaye ... kisi behal ka bacha haal joh haal kha jaaye ... bemaut marte mann ka yeh malaal kha jaaye ... Lalu ka laal kha jaaye, naxal baari ki naal kha jaaye, bachpan ka dhamaal kha jaaye, budhape ki shawl kha jaaye ... haya toh chhodo behaya ki chaal bhi kha jaaye ... aur agar parosa ja sake toh khayal bhi kha jaaye
Meri tarah hota agar khud par zara bharosa, toh kuch door tum bhi saath saath aate ... rang meri aankhon ka baantte zara sa, toh kuch door tum bhi saath saath aate ... nasha aasman ka joh choomta tumhe, hasratein tumhari naya janam paati ... khud doosre janam mein meri udaan chhoone, kuch door tum bhi saath saath aate
Choti choti chitrayi yaadein, bichhi hui hai lamho ki lawn pe ... nange pair unpar chalte chalte itni door aa gaye hai ... ki ab bhool gaye hai joote kahaan utare the ... edi komal thi jab aaye the, thodi si nazuk hai abhi bhi aur nazuk hi rahegi ... in khatti meethi yaadon ki shararat jab tak inhe gudgudati rahe ... sach bhool gaye hai joote kahan utaare the ... par lagta hai ki ab unki zaroorat nahi
Joh lehron se aage nazar dekh paati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon ... woh awaaz tumko bhi joh bhed jaati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon ... zid ka tumhare joh parda sarakta, khidkiyon se aage bhi tum dekh paate ... aankhon se aadaton ki joh palke hatate, toh tum jaan lete main kya sochta hoon
Chaand se dhoop ki umeed karna ... aur tees maar khan se imaandari ki ... dono bekaar hai
Jahan paisa lagta hai wahan sirf ek hi maqsad hona chahiye ... paisa banana
Idhar vakil, kanoon, sab main hoon ... main
Makaan banao ... baatein nahi
Bade aadmi ko maarne waala aur bhi bada ban jaata hai
Ateeth ko sirf yaad rakho ... vartamaan ko parkho ... aur bhavishya ka chinta karo
Agar subah tak unka pata nahi lagaya ... toh tum lapata ho jaoge
Khel wahi khelna chahiye ... jis mein jeet pakki ho
Ring fasi toh ladki fasi
Saat pheron ke bandhan mein joh jaadu hai ... woh jeete ji kabhi pati patni ko juda hone nahi deta
Apne hi apno ke kaam aate hai
Jitna baatega, utna badega beta
Jab kismat mein likhe ho hathode ... toh kahan se milenge pakore?
Zindagi aaise ho gayi hai jaise bell-bottom aur khudkhushi jeans ki pant
Cheete ki raftaar se, ajgar ki pakad se aur Sultan ke dimaag se koi nahi bach sakta
Is duniya mein sirf do kism ke insaan hai ... achche insaan joh achcha kaam karte hai aur bure joh bura
Tum dono haddiyon mein main kabab nahi banna chahti
Desh ko seva nahi ... prime time entertainment chahiye
Bade bade sheharon ki choti choti buses mein aaisa hota rehta hai
Zindagi jhaant hai ... phir bhi thaant hai
Bina kapde ke kaali gori sab ek jaisi dikhti hai
Tera bachcha jug jug jiye ... bada hoke tera khoon piye
Money can buy you happiness ... if you know where to shop
Shock laga tha ... mixer mein do baar, toaster mein teen baar ... aur jab angoothi pehnahi thi tab sau baar
Har woh prem kahani mahaan hoti hai ... jis mein do premiyon ke beech sachcha pyar ho
Do farsan, do misthan, papad, pulav, kadhi, kachumbar, poori, paratha, aachar ... puri unlimited thali ho tum
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
