dialogues for cast:
cast:
Upar waale ne mujhe maut toh ek hi di ... par tumhare saath in kuch dino mein kai zindagiya jee li maine
Apne desh mein biwiyan nahi badal sakte na ... is liye yeh secretary badalta hai
Ek aadmi ka kaam ... pachaas aadmi milke, table pe bahetke kharab karte hai na ... usko corporate bolte hai
Yeh udi udi si rangat, yeh luti luti si zulfen ... teri halat bata rahi hai teri zindagi ka fasana
Joh doosro ki help karte hai ... bhagwan unki help karte hai
Jahan par maut hone waali hoti hai na ... wahan par pehle ullu ka saaya padta hai
Paisa aur boyfriend jitna lutaoge ... utna tumhare pass aayenge
Zindagi chubne lagi kaanton ki tarah yaar mujhe ... har pal tere intezaar ka sadiyon ki tarah guzra
Jism mitti hai mitti mein mil jayega ... rooh ka jalwa phir bhi nazar aayega
Woh toofan hi kya joh jaan na lele ... aur woh jaan hi kya joh toofan se darr jaye
Hamari is rangeen duniya mein jab aap hamari mallika hongi ... zindagi jaise jannat mein basar hogi
Mohabbat karne waale aur mohabbat ka saath dene waale ... kabhi nahi marte
Bas ek nigah se ab har nazar tumhari hai ... meri har raah bewaqt rahguzar tumhari hai ... mera har din tumhare naam pe jeeyega sanam ... meri har shyam, meri har subah tumhari hai
Har ek dil yahan ek dil talash karta hai ... wafaa ki, pyar ki manzil talash karta hai ... yahan parwane shama se kareeb hote hai ... haseen nazaron pe shehzaade shaheed hote hai ... yahan dil lene dene ki ada bhi kaatil hai ... yahan ke vaade bahut dil-nasheen hote hai ... joh bekaraar kare woh karaar kehte hai ... is bazar ko Meena Bazar kehte hai
Duniya ko kuch dene ki shakti sirf achchai mein hai ... kyun ki burai sirf cheenna aur lootna jaanti hai
Sapne unhi ke sach hote hai ... joh apni bhalai ke saath doosro ka bhi bhala chahein
Haath mein hai heeron ka haar ... aur hum dhoond rahe hai Zaveri Bazaar
Har kisi ka ek sapna hota hai ... par joh apne sapne doosro ke aasoonyo se poore karte hai ... unke sapne bhi aasoon ban jaate hai
Waqt aane de bata denge tujhe aasmaan ... hum abhi se kya batayein kya hamare dil mein hai
Bandook badi bewafaa mashuka hoti hai ... kab kidhar mooh modh le ... koi bharosa nahi
Mere Sohni Mahiwal ki love story ke andar interval toh ho sakta hai ... lekin the end kabhi nahi hona chahiye
Vadi vadi country ke andar chotiyan chotiyan dressan paake ... te puppiyan, te jhappiyan maarke rijha le apne pati nu
Shaadi shuda zindagi mein pyar ki daal agar thandi padh jaye ... toh us mein romance ka tadka lagake fresh kar dena chahiye
Aapke mann mein joh bhi hai woh bata dena chahiye ... isse khud ka hi nahi aapke aas paas rehne waalon ka mann bhi halka ho jaata hai
Zindagi cash se nahi, credit card se bhi nahi ... credit pe chalti hai
Aatma ka prem shareer ke prem se bahut ooncha hota hai
Log badle, desh badle, tareekh badli ... nahi badli toh ek insaan ki sachi mohabbat
Khokar bhi aakhri saana tak ussi pyar mein rehna ... sabse bada pyar hai ... sacha pyar hai
Kabhi kabhi bahut achcha karne ke liye ... thoda sa bura bhi hona padta hai
Yahan trigger daba aur wahan shikaar gira
Mera ek hi toh record hai ... ki kahin pe bhi mera koi record nahi
Arre kaan mein gobar pack kar liye ho ka? ... saala teesra time ring kar rahe hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
