Page 428 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

428 (of 459 pages) | 32 (of 14664 items)
1 427 428 429 459
Jhamela char din ka tha, hawali they mawali they ... Sikandar jab gaya duniya se, dono haath khali they
Woh kaali kaali botalein joh hai sharaab ki ... arre raatein hai in mein band hamare shabaab ki
Kahin bhi apna thikana nahi is zamane mein ... na aashiyane ke bahar, na aashiyane mein
Duniya bhi kitni ajeeb jagah hai ... jinhe hum chor, gunda aur badmaash kehte hai ... woh insaaniyat ke liye daulat ko thukra dete hai ... aur jinhe hum nek, shareef aur baizzat kehte hai ... woh daulat ke liye ek bachche ko apne baap se alag kar dete hai
Kali dekhi thi, ab gulzar hai tu ... churi dekhi thi, ab talwar hai tu
Tum gham-e-beti mein dubli na hui ... main bekaari mein mota ho gaya ... tum balti se ho gayi drum ... main glass se lota ho gaya
by: Unknown
from: Shor (1972)
code:
Jeevan ka matlab toh aana aur jaana hai
by: Unknown
from: Shor (1972)
code:
Tu Bombay ki public ko nahi jaanti ... khush hai toh khush, bhigdi toh thopda bhigad ke rakh deti hai
Log London se degree ke alava aur kabhi kabhi degree ke bajai ... mem lekar aa jaate hai
Agar kisi nek kaam ke liye jhoot bolna padhe ... toh woh jhoot sau sach ke barabar hai
Har insaan joh paap se, zulm se ladta hai ... woh bhagwan ka hi toh roop hota hai
Bhagwan jab apni mutthi mein chand ko chupata hai ... toh suraj nikalta hai
Dum par kabhi zor se jhatka diya hota ... toh dum toh kya kuttiya bhi seedhi ho jaati hai
Ab na ye haath chhodenge, na mooh modhenge, na dil todhenge
Main bhi tumhari khoobsurati ki ek zamane se puja kar raha tha ... tumhari surat apni umeedon ki tasveer se mila milake dekh raha tha
Yeh Hindustani ladkiyon ka khaas andaz hota hai ... yeh haan bhi na ki tarah karti hai ... aur na haan ki tarah
Mere jaal mein aayi hui chidiya udh nahi sakti ... kyun ki main uske par katar deta hoon
Aashiq ko apni mehbooba ki sab adayein pasand hoti hai ... aur mard ko apni biwi ki saadgi
Jeene ke liye phool hi nahi chunne padte hai ... balki kaante bhi hatane padte hai
Gham ka ilaaj gham se nahi ... balki himmat se hota hai
Joh kabhi nahi hota ... wohi ek din zaroor hota hai
Virodh se kabhi virodh nahi mitt sakta ... apnepan ke khrod, apne ahankar ko maarkar, apne pyar se hi jag ka virodh mitta sakte hai
Sagad Singh dushman ke dost ko bhi apna dushman manta hai
Main tujhe aaisi maut maroonga ... joh maut kisi dushman ne kisi dushman ko bhi na di hogi
Joh veer Rajput apna sar jhukakar dushman ka dil jeet le ... woh sar uthakar jag jeetega
Jiski maut jis ghadi likhi hoti hai ... ussi ghadi aati hai
Pyar ka samay kam hai jahan ... ladte hai log kaise wahan
Joota kitna bhi keemti ho paon mein hi pehna jaata hai ... sar pe nahi
Kaisa re baandha prem ka bandhan ... loot liya mera komal tann mann ... jaa ghar jaa tu dekh le darpan ... lagti hai burman ki lotan ... tu mera jogi main teri jogan ... main teri Rati tu mera Madan ... na main jogi na main Madan ... main toh hoon Raampur ka Lakshman
Likhna padhna toh school mein sikhaya jaata hai ... lekin insaaniyat school mein nahi, sanskaron se aati hai
Kadve sach se meetha jhoot kabhi kabhi achcha hota hai
Main paidahishi imaandar hoon ... baimaan ki maut marna mere liye beizzati hai
1 427 428 429 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..