Dialogues from Movies for Parties
Zindagi ki raahon mein thokarein wohi khate hai ... joh oonche hokar chalte hai
Duniya ki har jagah mohabbat ki nigahon mein pyari hoti hai
Aulad ki taqdeer maa ke aasoonyon se hi chamakti hai
Aye jawaano zindagi resham bhi hai talwar bhi ... muskurata phool bhi hai aur khatakta haar bhi ... chaand suraj ki tarah yeh garam bhi hai sard bhi ... apni aankhon ka hai aasoon doosro ka dard bhi ... raaste mein aman ki mashaal jalane ke liye ... hum toh jeete hai watan ke kaam aane ke liye
Bekaar aadmi phatte huye tube ki tarah hota hai ... lekin mushkil toh yeh hai ki tube ka puncture phir bhi judh sakta hai ... lekin bekaari ka puncture nahi judhta
Kismat aadmi ko dokha de sakti hai ... lekin bhagwan aadmi ko dokha nahi deta
Vishvas, dharam, sanskar ke mamle hi badhe nazuk hote hai ... insaan ki bhavnaon se khelna koi mazaak nahi hai
Kangi ko narangi kahein ... bane dhoodh ko khoya ... chalti ko gaadi kahein ... dekh Kabira roya
Jisne tan diya usne dhan nahi diya
Insaan mar sakta hai ... karza nahi mar sakta
Aankh jhukakar baithne waale, aankh uthakar dekh zara ... hum bhi hai tere chahne waale, teer chalakar dekh zara
Kabhi tera dar, kabhi darbadar, kabhi arsh par, kabhi farsh par ... arre gham-e-aashiqui tera shukriya, main kahan kahan se guzar gaya
Mera daata mujhpar meherban hai ... mere mooh mein chandi ki zabaan hai ... mere haath mein sone ki kamaan hai ... joh bhi mere aage aayega ... muft mein joote khake jayega
Zindagi ke do hisse hote hai ... ek sawal doosra jawab
Aap goli chalwa sakti hai ... chala nahi sakti ... jaan khareed sakti hai ... le nahi sakti
Adalat sachai ki jaanch partaal karti hai ... wahan dilon ki gawaiyan pesh nahi hoti
Phansi aur tum mein ab utna hi faasla hai jitni ki yahan se kacheri door
Surma jab tak kheecha nahi jaata aankhon mein jagah nahi paata
Jeevan ke mele mein joh haath pakadkar nahi chalte ... woh aksar kho jaaya karte hai
Zindagi ek khoobsurat khilona hai ... isse darna nahi, khelna seekho
Lehron se darne waale kinare reh jaate hai ... aur sagar mein faandne waale moti le aate hai
Dil ki awaaz dil se suni jaati hai ... kaano se nahi
Nadan dost se samajhdar dushman achcha hota hai
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai ... yahan buildinge banti hai cement ki aur insaanon ke dil patthar ke
Mumbai ko koi nahi khareed sakta ... Mumbai sabko khareed leti hai aur apna kaam nikaalkar kisi raddi waale ki dukaan mein phek deti hai
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai ... yahan sach bolkar pet bharne ka raasta dhoondne se nahi milta ... aur jhoot bolkar paise banane ke raaste hai 420
Aaj gareeb bhi gareeb ko nahi pehchanta
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai ... yahan doosro ko girta dekhkar sab haste hai ... magar jab khud girte hai toh hasna bhool jaate hai
Dil ka dard aur aankhon ke aasun chupane ke liye ... yeh bewakoof maskare ka bhes bade kaam ki cheez hai
Mera joota hai Japani, yeh patloon Englishtani, sar pe laal topi Russi ... phir bhi dil hai Hindustani
Na hui sard dil ki lagi ... barf mein bhi laga ke dekh liya ... itna sher garam tha ... magar barf mein daal ke thanda kar diya
Ishq toh sabhi karte hai ... lekin sabka kurta pyjama, coat patloon nahi ban jaata
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
