Dialogues from Movies for Parties
Ab tak kisi ko nahi maara ... lekin ab joh mujhe rokega ... marega
Tarai mein rehne walon ko oonchai pe rehne walon ki hamesha zaroorat padti hai
Jiske na aage koi ho, na peeche ... woh sari zindagi sirf ek hi cheez dhoondta hai ... family
Mulaqaton ko din aur hafton se kyun gina jaata hai ... saanson se kyun nahi ... agar saanson se gina jaaye toh lagega ... bahut lambi umar hai is kam umar rishtey ki
Joh shivaay ban jaaye ... usse kuch aur ban'ne ki zaroorat nahi
Na aadi na anth hai uska ... woh sabka na inka unka ... wohi shunya hai, wohi ikai ... jiske bheetar basa Shivaay ... aankh moondkar dekh raha hai ... saath samay ke khel raha hai ... Mahadev maha ekaki ... jiske liye jagat hai jagi ... wohi shunya hai, wohi ikai ... jiske bheetar basa Shivaay ... Ram bhi uska, Ravan uska ... jeevan uska maran bhi uska ... tandav hai aur dhyan bhi woh hai ... agyani ka gyan bhi woh hai ... isko kaanta lage na kankar ... rann mein Rudra, gharon mein Shankar ... anth yahi sare vighno ka ... is bhole ka vaar bhayankar ... wohi shunya hai, wohi ikai ... jiske bheetar basa Shivaay
Zaroorat se zyada kabhi usse maanga nahi ... zaroorat se kam kabhi usne diya nahi
Na kar bandeya meri teri ... char dinan da phair hai duniya ... phir tu bhi mitti, main bhi mitti
Begunah ko saza dena, begunah ko maut dena ... poori insaaniyat ko maut dena hai
Yeh lakeeran na badhi dheet hai ... mutthi mein toh band ho jaati hai par qaabu mein nahi aati
Mashaal ek ho ya ek lakh ... sirf ek chingaari ki zaroorat hai usse jalane ke liye
Aap logon ko bas peeth par vaar karna aata hai ... par hum Hindustaniyon ne kabhi peeth dikhana seekha hi nahi hai
Jitna lamba kurta utni zyada sex drive
Mann ka ho toh acha ... na ho toh aur bhi acha ... kyun ki woh eeshwar ki marzi hai
Phir se poochoge ... toh main haan keh doongi
Uske aansoon rokne le liye main maar sakta hoon ... aur mar bhi sakta hoon
I love you to the square of infinity
Log saath saath is liye nahi rehte kyun ki woh bhool jaate hai ... log saath is liye rehte hai kyun ki woh maaf kar dete hai
Roti hui ladkiyon se door bhaagta hoon main ... par tum jab roti ho toh I want to just kiss you
Joh joh tumne apni mehnat se dhoonda hai aur himmat se paaya hai ... asli maza ussi mein aaya hai
Do tarah ke log hote hai ... ek woh joh pehle kamate hai, baad mein party karte hai ... aur doosre woh joh party karne ke baad, bill chukane ke liye gadhe jaisi mehnat karte hai
Apne ghar ko aabaad karna hai toh wahin rehna chahiye ... kisi ke shehar chale jaane se shehar toh aabaad ho jayega ... lekin apna ghar veeraan ho jayega
Kuch log aise hote hai joh dil ke band darwaze par dastak dete rehte hai ... aur kuch log aise joh band darwaza dekhkar khidki se andar aa jaate hai
Give pyar to find true yaar
Jab tumhare haath mere haathon mein aate hai ... toh pata hi nahi chalta ki kaunsi ungliyan tumhari hai aur kaunsi meri
Hum mein hamesha sikhaya jaata hai jitna tezz daud loge utna aage nikal jaoge ... par wahan khushi milegi ya nahi ... yeh koi nahi batata
Zindagi mein aage badne ke liye kuch na kuch toh peeche chhodna hi padta hai
Kuch logon se hum bewajah muskurakar milte hai ... aur kuch logon se milkar hum bewajah hi muskura dete hai
Hum baar baar janam lete hai karne ke liye ... achche karam
Zaroori nahi har sawaal apne saath ek jawaab lekar aaye
Kuch galiyan, kuch ghar yaadon ki tarah hote hai ... hum mein ek pal mein hi apne paas le aate hai
Har din, har raat tera khayal rehta hai ... har waqt, har pal bas ek sawaal rehta hai ... tum bin jiya jaye kaise, kaise jiya jaye tum bin ... muskuraya tune joh taare bhi sharma gaye ... dil ki dhadkan badh gayi toh hum bhi kuch ghabra gaye ... aye hawa behki hawa chhuna usse tehzeeb se ... mere pyar ka paighaam dena chupke chupke kareeb se
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
