Page 99 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

99 (of 459 pages) | 32 (of 14662 items)
1 98 99 100 459
Jitna dum aapke ek haath mein nahi hai ... utna dum hamari ek ungli mein hai
Joh baar baar pair chuta hai ... woh kabhi kabhi pairon taale zameen khiska deta hai
Bachchon se haath nahi milaya jaata hai ... unhe aashirwad diya jaata hai
Kisi fan se latkakar tumhe aaisa ghumaonga ... ki bhool jaoge ki insaan ho ya latoo
Jab meri chalti hai toh tumhari kyun jalti hai?
Itna maroonga ki judge ke order order bolne se pehle ... tere liye ambulance ka order de diya jayega
Mohabbat ... aadmi itna majboor ho jaata hai, ki mohabbat mein joh usoolan galat hota hai ... woh bhi sahi lagta hai
Kabhi kabhi zyada pyar bhi nuksaan kar deta hai
Film tab tak flop nahi hoti jab tak uska poster nahi utar jaata
Meri maar dawai ki tarah hai ... jab bhi tu aaisi koi harkat karega ... tujhe dose zaroor milega
Kudrat ke insaaf ko samajhna insaan ke bas ki baat nahi hai
Kya shehak milega pareshani karke ... kya pahega tauheen-e-jawani karke ... tu aatish-e-dozakh se darata hai unhe ... joh aag ko pee jaate hai pani karke
Jise jeete jaagte insaano ke pyar ka reward milta hai ... usse pital ke award ka moh nahi karna chahiye
Chand sabki kismat mein nahi hota ... aur jisse chand mil jaye woh usse uske ek daag ke liye chhod nahi deta
Sheeshay ka samundar, pani ki deewarein ... maya hai, bharam hai mohabbat ki duniya ... is duniya mein joh bhi gaya, woh toh gaya
Pyar mein joh galat hai ... woh bhi sahi hai
Sari zindagi guzaar di tune paisa jama karne mein ... magar tu yeh bhool gayi ki na kafan mein jeb hai aur na kabar mein almari ... aur kambakht maut ke farishtey rishvat bhi nahi lete
Ravi Kumar langot ka bahut pakka hai ... woh bistar par neend ke alava kuch nahi leta
Hum toh dariya hai, hum mein apna hunar malum hai ... jis taraf bhi chal padenge, rasta ho jayega
Tere shareer mein itna khoon nahi hoga ... jitna Ravi Kumar ek baar mein moot deta hai
Raja ka beta bhale hi nanga pehda ho ... magar hota woh rajkumar hi hai
Na dance, na expression, na pose ... sirf expose
Shaadi karega? ... saala jhandu!
Upar waale ke karname bhi kamaal hai ... kabhi ek rasta bandh kare toh ek khol deve ... kabhi daboche toh kabhi chhod deve
Jaan ke haath se jaan jaave ... toh jaan jaane ka mazaa aa jaave
Ekdum zehar ho tum
Main lift se ya seedhiyon se nahi ... laashon ke dher ke upar chad chadke upar pahuncha hoon
Manushya joh hai woh aata hai jaane ke liye ... aur hum andar ja rahe hai bahar aane ke liye
Zarurat se zyada roshni insaan ko andha bana deti hai
Joh dil se baat karte hai ... unhe dimaag se jawab nahi diya jaata
Yeh joh josh hota hai na woh manushya ko A to B le jaata hai ... lekin hosh A to Z
Life is death ... but in disguise
1 98 99 100 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..