dialogues for cast:
cast:
Shera ki suvar ki khopdi mein lomdi ki tarah chalaak dimag hai ... pahad khodkar chuha nikaal leta hai ... kabar khodkar murda nikaal leta hai ... aur aatma ka gala dabakar parmatma ka pata nikaal leta hai
Maut se kiski rishteydari hai ... aaj hamari kal tumhari baari hai
Allah re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud ... rangeeniyon mein doob gaya pairahan tamaam
Sochna tumhara kaam nahi ... tumhara kaam mere soche huye par amal karna hai
Insaaniyat ke bazar mein mujh jaise do kaudi ke insaan ki vakat, aap jaise crorepati haiwaan se zyada hoti hai
Kal, aaj, aur kal, ek hi zanjeer ki teen atoot kadiyan hai
Yeh zindagi bhi ek ajeeb khel hai ... is khel mein bewakoof, kayar aur apahij tamasha dekhte hai ... aur akalmand, hauslamand and bahadur kood padte hai
Baadalo aur insaan ki saanso ka kya bharosa ... baadal kabhi bhi baras sakte hai ... saans kabhi bhi toot sakti hai
Zindagi ki university mein aaj tumhara pehla imtihan hai ... agar pass ho gaye toh degree ki jagah maal hi maal hai ... aur agar fail ho gaye toh inaam mein police ki goliyan ya jail
Hamare samne koi doosra pistol rakhe ... yeh hum mein pasand nahin
Joh hamari jaan ka dushman na ho ... hum uski jaan nahin lete
Aurat maa ban sakti hai, behan ban sakti hai, biwi ban sakti hai ... lekin dost kabhi nahi ... aur jab woh dost ban jaati hai toh badi khatarnak hoti hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
