dialogues for cast:
cast:
Main inteqam ka ek aaisa dahekta hua koyla hoon ... jiski uthti hui aag ki lapton mein tum sabki zindagiyan aa chuki hai ... aur is jalte hue koyle ki aag mein tum sab bari-bari jalkar raakh ho jaoge
Rahul, naam toh yaad rahega na?
Main kisi ladki wadki se pyar nahi karta ... sirf ladkiya mujhse pyar karti hai
Rahul, naam toh suna hoga?
Kya tumne kabhi bhi ... ek din ke liye bhi ... ek pal ke liye bhi ... mujhse pyar kiya tha?
Woh hai sabse bura ... woh hum insaano ke saath ajeeb tarah ke khel khelta hai ... woh ek ko doosre se pyar karwata hai, toh doosre ko teesre se, aur teesre ko kisi aur se
Kehdo ki tumhe nahi lagta ki hum dono ek doosre ke liye bane hai ... kehdo ki jab main tumse door jata hoon, tum mujhe palat kar nahi dekhti ... kehdo ki jab main tumhe choota hoon, tumhe kuch nahi hota ... kehdo ki is waqt tum meri baahon mein nahi aana chahti ... ek baar meri aankhon mein dekho aur aakhri baar kehdo ki tum mujhse pyar nahi karti
Aapki kabr bhi main apne haatho se khodoonga ... aur aapko dafnaonga bhi main apne haatho se
Jin gande haatho se tumne Bijuriya ke jism ko chua hai ... unhi haatho ko jodhkar tumhe usse maafi mangni padegi
Mujhe teri aankh, kaan, naak bilkul pasand nahi ... mujhe toh teri muskurahat se pyar hai
Jab insaan nasha karko haivaan ban jaata ... toh haivaan nasha karko shaitaan hi banega na
Main jab naachta hoon na ... toh pair floor par nahi, haseeno ke dil par padte hai
Aap kamai mein joh maza hai na ... woh maza na baap kamai mein hai, na paap kamai mein hai
Tumhare pyar mein dil bekarar kab se hai ... ab aa bhi jaao, mujhe intezar kab se hai
Apni halat bayaan karoon kaise ... yaad ka saanp dil ko dasta hai ... aahatein goonjti hai kaano mein ... meri aankhon mein koi basta hai ... main tumhe dhoondne kahan jaaon ... koi manzil na koi rasta hai ... meri baahein tumhari manzil hai ... dil musafir hai, pyar rasta hai ... waqt aankhon mein tham gaya jaise ... ek paal ek saal lagta hai ... mere khwaabon ki saans toot na jaaye ... aa bhi jaao ki aas toot na jaaye
Ghalib na mara tha, na mara hai, na marega ... kyun ki aashiq ka bachcha na sudhra hai, na sudhrega
Pareshani aur takleefon se joh door ho, woh hum hai ... jiske sar par aapka haath ho, usse kya gham hai
Bhaage hamare dushman meri jaan, hum mein rukna hoga ... hamari mohabbat ke aage, in kamino ko jhukna hoga
Mohabbat aur jurrat kya cheez hai, yeh tu kya janega kasai ... yeh deewana bankar rahega, tumhara permanent jamai
Jahan par dus log kaam karenga ... wahan pe ek na ek gaddar to zaroor niklenga
Tu is duniya mein first time aake itna nahi roya hoyenga ... jitna tu aaj is duniya se jaate time royenga
Apun to khud saala maut hai ... is liye aaj talak zindagi ka himmat nahi pada ... ki apun ko nazdeek se aakar dekhe
Dil mein ghusne se pehle ladki log knock kaiko nahi karta hai re?
Joh maidan mein ghutne tek de woh dosti karne ke kabil nahi re
Oonchi building mein rehne waala footpath pe chalne waala ka khoon choosta hai
Bandook pakad lene se buzdil bahadur nahi ban jaata ... aur apun darr nahi jaata
Bhook hai, thakaan hai, dard ki pehchaan hai ... dushman jahaan hai, mann bhi pareshaan hai
Pyar woh nasha hai jis mein chain kho jaata hai, hosh udh jaata hai, neend gayab ho jaati hai ... kisi ko milne ki, chune ki, kehne ki, sunne ki, kisi ko apna banane ki, kisi ka ho jaane ki khawaish hoti hai, jeene ko mann karta hai ... pyar woh andhrooni bahaar hai jis mein kalpana ke phool khilte hai, kavita ko sur milte hai, chahaton ke mele lagte hai, kisse mehakte hai, kah-kahe lagte hai, karaar milta hai ... pyar woh insaani karishma hai jis mein aane waale kal ko wajah milti hai, guzre hue kal ko wajood milta hai, anjaan logon ka dil milta hai, soone safar ko sahil milta hai
Ghode par bahetkar jaan ki baazi lagane mein woh maaza nahi ... joh chahat ke maidan mein dil ki baazi laga dene mein hai
Pyar mein jab tak maut se na khelo ... milne waali zindagi ka mazaa nahi aata
Kiss gaalon pe nahi ... hoton pe kiya jata hai
Poornta se pal pal jeene ko hi asli jeevan kehte hai ... aur poornta se jeene waalon ke liye kabhi maut nahi hoti
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
