dialogues for cast:
cast:
Main soote huye pe vaar nahi karta
Shankar patthar ko nahi dil ko poojhta hai ... aur dil kabhi patthar ka nahi hota
Mujrim ke paon hote hai ... zabaan nahi
Main gadi chalata hoon, zabaan chalata hoon, haath chalata hoon ... aur zaroorat padhe toh bandook bhi chala sakta hoon
Zabaan agar meethi ho toh apno ka bhi kaam ho jata hai ... aur doosron ka bhi
Main toh us andhere ghar ka chirag hoon ... jahan dil bhi jalao toh roshni nahi ho sakti
Jahan sher ki hukumat chalti hai ... wahan chote mote janwaro ka aana jaana mana hai
Naseeb insaan ka banta hai thokarein khane ke baad ... aur rang lati hai henna patthar pe pis jaane ke baad
Daulat se bistar khareeda jah sakta hai, neend nahi ... aurat khareedi jah sakti hai, pyar nahi ... jhoot kareeda jah sakta hai, sachchai nahi
Seedhi sachi baatein karne ke liye kaleja chahiye
Uthade parda, dikha de jalwa ... boondi ke ladoo, gajar ka halwa
Aap kare aaram hum kare vishram ... aam ke aam guthliyon ke daam
Sau saal yehi dialogue natakon aur filmon mein pitt raha hai ... lekin jab bhi bola gaya hai, hit raha hai
Hazaaron ladkiyan hamare ghar ke bahar ghaslet ki line ki tarah hum mein pati banane ke chakkar mein khadi rehti hai ... aur tum hum mein pati banane ke bajaye vanaspati banana chahti ho
Duniya ek stage hai, zindagi uska drama hai, insaan keval naam-matra actor hai aur maut uska parda hai
Samajh samajhke samajh ko samajho toh samajhna bhi ek samajh hai ... samajh gaye?
Bade logon ke haath nahi alfaaz istamal hote hai ... jinke ishaare par chote log choriyan karte hai
Hum do hamare do, teesra kabhi na ho ... patni se bhaiya door raho, kitni bhi adhchan ho
Khat kabutar kis tarah le jaye bam-e-yaar par ... par kattarne ke liye hai kaichiyan deewar par ... jawab hai ki khat kabutar is tarah le jaye bam-e-yaar par ... khat ka mazmoon ho paron par, par katte deewar par
Ek ladki jab saari bandkar, gale mein phoolon ka haar dalkar, ladke ke saath apna pallu bandkar agni ke saat phere leti hai ... toh woh phere uski zindagi ko phira dalte hai
Manushya ko makhan mein baal ki tarah, samudra mein jaal ki tarah aur yudh mein dhaal ki tarah rehna chahiye
Jiske seene mein dil nahi usse dil ki bemaari kaise ho sakti hai?
Ameeron ne toh joh kuch bhi banaya hai woh rishvat ya rishvat ke balbute par banaya hai ... koi dus rupaiya mein vote khareed leta hai ... sau rupaiya mein koi apni arzi pass karva leta hai ... hazar rupaiya dekar koi apna imteham pass kar leta hai ... lakhon rupaiya dekar yeh log apna tender pass karva lete hai ... arre main toh kehta hoon sabse pehle in rishvatkhoron ko fail karo ... tab ja karke yeh mulk pass hoga
Koi mai ka laal kisi ko do waqt ki roti nahi dila sakta ... kyun ki roti dilane waala woh malik hai ... jisne har insaan ko do haath diye hai aur kaha hai ki ... cheer de zameen ka seena aur nikaal le apne hisse ki roti
Mazdoor ka paseena sookhne se pehle, uski mazdoori mil jani chahiye janaab
Tere haath mein maut ka samaan hai toh ... mere seene pe khuda ka naam hai
Aapka kanoon kisi insaan ko ek hi jurm ke liye do baar sazaa nahi de sakta
Mujhe toh sirf apne aap se hi darr lagta hai
Aaj se main apna kanoon khud banaonga
Sharaab khareedne waale rupaiye toh mere paas bahut hai ... haan dawa khareedne waale rupaiye mere paas nahi hai
Main woh badnaseeb beta hoon ... ki jis dawa ko cho loonga, woh meri maa ke liye zehar ban jayegi
Hamare desh mein ... kaam dhoondna bhi ek kaam hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
