Page 8 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for cast:

cast:
8 (of 16 pages) | 32 (of 512 items)
1 7 8 9 16
Aayenda kabhi aaisi harkat ki ... toh bina khaal ke gadhe ki tarah saare sansar mein ghoomte hue nazar aaoge
Zulm aur atyachar se tum mere shareer ko khatam kar sakte ho ... lekin insaaf aur nyay ke liye pukarti hui meri aatma ki awaaz nahi daba sakte
Vishvas ek bahut hi nazuk sheesha hota hai ... ek baar toot jaye toh dobara judta nahi
Apradh agar pataal ke andheron mein bhi chup jaye ... toh bhi sazaa peecha karte hue wahan pahunch jaati hai
Police ki naukri karne ke liye jigar ispat ka aur badan faulad ka banana padta hai
Insaan ke bheetar se shaitan janam leta hai ... wafaadar ke khoon se baaghi pehda hota hai
Bachpan ki buri aadatein aur buri baatein insaan ko bura bana deti hai
Ungliyaan kaant dene se haath nahi kat jaata
Kachre ke keede ko maarne ke liye Flit bazaar mein milta hai ... magar paap ke keede ko maarne waala Flit saala bana hi nahi hai aaj tak
Aaisi maut marenge ... ki ek baar maut ko bhi paseena aa jayega
Is duniya mein do tarah ka keeda hota hai ... ek woh joh kachre se uthta hai ... aur doosra woh joh paap ki gandhgi se uthta hai ... kachre waala keeda insaan ko beemar kar deta hai ... magar paap ki gandhgi ka keeda saare samaaj ko beemar kar deta hai
Mamta ki koi zaban nahi hoti ... naa hi pyar ki koi tasveer hoti hai
Aainda kisi gareeb par haath uthane ki koshish ki ... toh tumhare haathon ko bhik mangne ke kabil bhi nahi chhodunga
Uparwaala kisi ko sazaa dene ke liye khud chalkar neeche nahi aata ... ussike kehane se koi insaan zulm aur sitam ka muqabla karne ke liye uthta hai ... aur aaj main zulm ko khatam karke hi rahoonga
Is duniya mein zinda rehne ke liye ... bhigda hua hona bahut zaroori hai
Yeh che foot ka body ludkane ke liye char inch ka goli kam pad gaya malum?
Aaj shaam che bajhe maut ke saath apna appointment hai
Idhar har taqatwar apne se kam ko maarkar jeeta hai malum? ... maarkar
Waqt pe pahunchneka apna purana aadat hai
Kehne ko yeh shehar hai, sirf kehne ko ... par idhar jungle ka kanoon chalta hai
Galat cheez banaya telephone ... udhar se aadmi soochta kuch hai, bolta kuch hai, karta kuch hai
Sawaal jis zabaan mein kiya jaye ... jawaab us hi zabaan mein dena chahiye
Vijay Dinanath Chauhan ... poora naam
Dushman se agar fayda ho ... toh usko apna dost banalo
Is duniya mein tarakki karne ke liye ... na bolna bahut zaroori hai
Maut ke baad maut ... tumhe kai mauten maroonga
Jiske sar par kafan banda ho ... uske sar par sehra nahi bandh sakta
Mohabbat ki maar ka bada meetha meetha dard hota hai
Jab jab zulm ki aandhi badti hai ... usse rokne ke liye ek toofan aata hai
Tum is samaaj ke liye sivah maut aur andhere ke kuch nahi ho
Raat ke sannate mein jab kisi bhooke bachche ke rone ki awaaz aati hai ... toh raat bahut kaali lagti hai
Itne baazu itne sar, ginle dushman dhyan se ... harega woh har baazi, jab khelein hum jee jaan se
1 7 8 9 16

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.