Page 9 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for cast:

cast:
9 (of 16 pages) | 32 (of 512 items)
1 8 9 10 16
Aadha sach jhoot se bhi zyada khatarnak hota hai
Kalyug mein chamatkar ko hi namaskar kiya jaata hai
Bhagwan ka ansh har insaan ke andar hota hai
Hum toh yeh samajhkar aapke paas aaye the, ki hum apni samajh ko aapki samajh ke charano mein rakh denge ... aur aap is nasamajh ki bina samajhayi hui samajh ko, apni samajhdari se samajhake sabko yeh samajha denge ki hum samajh gaye ... lekin aap samajhenge nahi ... samajh gaye na?
Ek andha bhi mann ki aankhon se bahut kuch dekh leta hai ... lekin andhvishvasi toh tann aur mann dono ki aankhen kho behetta hai
Leader ke jazbaat ka, Bambai ki barsaat ka aur producer ki baat ka ... kabhi bharosa karna nahi chahiye
Aaj hum tumhare andhar chupe hue tamaam kaale kutte bahar nikalkar ... tumhara ghost nochne ke liye tum hi pe chhod denge
Jaan hum tumhari aaisi bhikharan bana denge ... ki maut bhi uski jholi mein bheek nahi dalegi
Tumne police ki vardi kahan pehan rakhi hai ... yeh toh ek kafan hai joh tumhare zameer ki laash ne pehan rakha hai
Tum apni haddi pasliyan achchi tarah ginke rakhna ... kahin hawalat ke andhar jaate hue aur hawalat se bahar aate hue ... tumhari ginti mein farak na padh jaaye
Desh mein do kanoon nahi ho sakte hai ... ek gareebo ke liye, doosra ameero ke liye
Shehar mein koi aaisa raasta, koi chowk, koi aasia naka nahi bacha tha ... jahan par katilo ne hum par goliyo ki barsaat na ki ho
Shahenshah jahan khade ho jaate hai ... wahin darbar lag jaate hai
Main kanoon ka baazu nahi khud kanoon banonga ... aur aaisa kanoon joh khud mujrimo ko pakdega, khud mukadma sunega ... aur unka faisla bhi khud karega
Rishtey mein to hum tumhare baap hote hai ... naam hai Shahenshah
Jab jab is dharti par Kans ne janam liya hai ... uska sar kuchalne ke liye Krishna bhi pehda hota raha hai
Pet ki bhook mitana mere liye zaroori nahi hai ... zaroori hai dil ki pyas bujhana
Apne jeevan ka andhera mittane ke liye maine tujhe diya jalane ke liye kaha tha ... tune toh mujhi ko jalakar apne jeevan mein ujala kar liya
Bahar khade rehkar tamasha dekhne waala sirf vedant jhaad sakta hai ... kisi ke andhar ki peedha nahi samajh sakta
Dushmano ko maaf karna insaaniyat hai ... lekin makkaron ko maaf karna bewakoofi hai
Khushiyan toh insaan har kisi ke saath baant sakta hai ... lekin apne dukh usse apne dil ke andhar hi rakhne padte hai
Sacha bahadur wohi hota hai joh toofani samundar ke beech mein ja karke machli pakadne ka jaal phekta hai ... kinare behetkar pani mein kaanta daale machli ke phasne ka intezar karne waale ko bahadur nahi kehte
Zakhmi dil chain nahi paate ... jala karte hai
Aaj pehli baar pata chala ki ... sabhi goron ka dil kaala nahi hota
Yeh namak ... namak haraamo ke zakhmo ko jalata hoga ... namak halaalo ke nahi
Hamare liye toh har maa apni maa hoti hai
Naukar kitna hi bada kyun na ho jaye ... uska sar ... maalik ke jooton se upar nahi uth sakta
Mere sar par jab tak mere maa baap ka aashirwad hai ... lohe ki talwar toh kya ... aasman se girne waali bijliyan bhi mera kuch nahi bighad sakti
Main ghulam mulk mein pehda zaroor hua hoon ... lekin mere dil ne ghulami na kabhi kubool ki hai aur na kabhi karega
Koyle ki dalaali mein haath kaale ho jate hai ... magar kaala dhanda karne waalon ke toh mooh bhi kaale ho jate hai
Dahej dimak hoti hai ... ghar mein basne se pehle hi ghar ko khokla kar deti hai
Mard ko dard nahi hota
1 8 9 10 16

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.