dialogues for cast:
cast:
Meri maa ke haath ka banaya halwa ... ajab hai uska jalwa
Ya rab kahin se ishq ka bazaar bhej de ... dil bechta hoon, koi khareedar bhej de
Baimaani, kala bazaari, rishwatkhor log lakh gaaliyan sunkar bhi aasani se is duniya mein jee lete hai ... magar joh log sachche hote hai na ... woh jhoote ilzaam ka ek shabd bhi nahi sun sakte hai
Aadmi ko khel wahi khelna chahiye ... joh achchi tarah khelna aata ho
Agar main tere liye mar sakta hoon ... toh tujhe maar bhi sakta hoon
Ab meri baat dhyan se sunle ... varna zindagi bhar kisi ki baat sunne ke layak nahin rahega
Aadmi ko sirf rishtey rokte hain ... aur mera koi rishta nahin
Nasik ho yah Bambai ... ladkiyan ladkiyan hoti hai, patane ka tarika aana chahiye ... pyar kiya nahin jaata, karvaya jaata hai
Pyar toh rahega ... uske dil mein nafrat ki tarah aur mere dil mein nasoor ki tarah
Ehsaas sirf dil mein yaadon ke diye jalate hai ... dilon ke beech nahi aate
Aaj tak tum log baimaani aur zulm ka bazaar garam karte rahe ... magar ab tumhare zulm aur paap ke pyale chalak uthe hai ... ab tumhare ek ek jurm ka hisaab liya jayega
Chhoton ko badhon ke samne cigarette nahi peeni chahiye ... aur taqatvar ko kamzor pe zulm nahi karna chahiye ... is liye agar koi cigarette peeye toh usse bhuja do ... aur koi zulm kare toh usse mitta do
Jis aulaad ke saath maa ka aashirwad aur baap ki dua ho ... woh haathon se nahi laaton se bhi kaam chala sakte hai
Bacha apni maa ki maar khake bada hota hai ... lekin apni maa ko maarne waala bacha tabah hota hai
Aashiq se bada sust janwar maine aaj tak zindagi mein nahi dekha
Do harami ek jaisa kaise sooch lete hain?
Jaan ki baazi lagane waala hota hai janbaaz ... jeene ka hai marne ka hai, apna hi andaz
Ek goli daali aur paanch ghar khali ... yun lagali aur goli chalali ... joh jeeta woh zinda, joh haara woh murda
Maska hai maska ... ekdum jhakaas!
Mujhe tumhari maut nahi, zindagi chahiye
Jab gareeb ka dil roh uthta hai ... toh apne hosh kho beheta hai
Har ek aadmi ke saath kahi log hote hai phansi ke takhte par, koi akela nahi hota phansi ke takhte par ... uske saath us phande par dum todhta hai uski biwi ka suhaag ... uske bachon ka bhavishya ... uske ghar mein basne waali ek ek khushi ... uske aagan mein utarne waali ek ek kiran ... sabko ek saath phansi ho jaati hai
Shatranj ke mohre wahi hai ... magar baazi palat chuki hai
Main aapke ek ek paap, ek ek jurm ka pata lagaonga ... aur jab tak police aapko adalat nahi le jaati aur adalat aapko jail nahi bhejti ... main likhunga, main chaapunga
Joh bhi apni zubaan nahi kholta hai ... main uske bheje ka dhakan khol deta hoon
Papaya jaisa chehra, chikoo jaisi aankhen, tarbuj jaisa badan ... ladki hai yah fruit ki tokri?
Is aadmi ki parchai bhi kisi pe padh jaye na ... toh wahi marr jaye ... itna zehareela hai yeh
Apun bhi apni marzi ka maalik hai ... apne mood ka badshah hai
Pichle janam mein tum zaroor maachis ki dibiya rahe hoge ... is liye is janam mein baatein kam aur mooh se chingaariya zyada nikalte ho
Waqt, mauka, nazaqat, halat ... kuch toh dekh kar aaya karo?
Kabab mein haddi toh suna tha ... yeh saala poora bakra kahan ghus aaya
Meri premika kisi ki patni bhale hi ban jaye ... kisi ki patni meri premika kabhi nahi ban sakti
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
