Dialogues from Movies for Parties
Ravan Ram Ram nahi karte ... seedha Sita ko utha lete hai
Apne dhande ki ek saying hai ... jahan teen ka tikda, wahan kaam bhigda
Mera naam hi kaafi hai ... logon ke pasine chhudane ke liye
Insaan ki zindagi par shak hota hai ... bus wahi nahi milta jispar hamara haq hota hai
Naam apna bada na ho ... par humne kaam kabhi chote nahi kiye hai
Bachpan se aaj tak is shehar ne har haq diya ... lekin dekho baat pyar ki aayi toh sautela kar diya
Yeh Bambai hai ... aur yahan sapne us hi ke poore hote hai ... jinki aankhen khuli rehti hai
Naam bata diya ... toh pehchaan bura maan jayegi
Na kisi ne lori gaakar sulaya hai ... na kisi ne maatha chumkar uthaya hai
Aadmi toh auraton ke hote hai ... mujhe mard chahiye, mard
Mehnat se sirf ghar bante hai ... sapno ke mahal nahi
Aaj kal pyar na naukrani jaisa ho gaya hai ... aata hai, bell bhajata hai, kaam karta hai aur chala jaata hai
Pyar mein marne ke liye tayyar ho jao
Apni dosti tire aur tube jaisi hai ... hawa teri nikalti hai aur bahet main jaata hoon
Dafan toh sabne hona hai ek din ... jeete ji dab gaya toh jeena mitti hai
Kisi ki itni baddua bhi mat lo ... ke log duaon mein tumhari maut maange
Hero kya hota hai? ... pyar ke liye ladne waala, dosti ke liye marne waala ... kismat se fakeer par himmat se bhara hua ... sharif aadmi
Chaubees ghante ka time hai ... khud nahi aayi toh is Ravan se bachane ke liye koi Ram nahi aane waala
In award ki keemat sirf ek saal ki hoti hai ... par duayein hamesha saath deti hai ... is liye kehna chahongi, bus dua mein yaad rakhna
Sachche dost aasoon ki tarah hote hai ... yahan dil udaas hua ... wahan woh aa gaye
Mohabbat woh mohra hai jiski wajah se bade badhon ko maat mili hai
Khiladi tha ... ab pura khel hoon
Ladki jab roti hai na bahut saare reasons hote hai ... par jab ladka rota hai ... reason ladki hi hoti hai
Agar main hero ban gaya ... toh meri pehchaan bura maan jayegi
Maan gaya toh thik hai ... varna galat kaam toh main bachpan se karte aa raha hoon
Hero marne ke baad swarg jaata hai ... aur villian jeete ji swarg paata hai
Mujhe achcha banne ka koi shaunk nahi hai ... suna hai upar waala achche logon ko bahut jald apne paas bula leta hai
Peene ki capacity, jeene ki strength, account ka balance aur naam ka khauf ... kabhi bhi kam nahi hona chahiye
Director ka art producer ke heart pe attack hai
Life mein kabhi kabhi na bas ek sorry kafi hoti hai
Yeh theater hai theater ... yahan drama nahi chalega
Good news ke liye timing aur lighting dono perfect chahiye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
