Page 23 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag:

Tag:
23 (of 24 pages) | 32 (of 737 items)
1 22 23 24
Makkhiyan behte na kyun kabar pe saudai ki ... uski mashooq thi beti kisi halwai ki
Aye meri jaane-jigar, patthar ka seena cheerkar, sari deewarein todkar, sabko akela chhodkar ... toofano se lad jaonga, tujhko magar le jaonga aur apne ghar jake garam garam chai pilaonga ... aur reh jayenge sab taapte, ek dujhe ka mooh taakte ... band karke raste aur tumhare vaste gajar ka halwa laonga
Door se main aap nazar aata hoon ... zara paas aa jaon toh baap nazar aata hoon ... aur bhi paas aa jaon toh phir potato chaap nazar aata hoon ... aur agar bilkul paas aa jaon toh phir chup-chap nazar aata hoon
Yeh komal kali, naazon ki pali, misri ki gali ... hamare hi kul mein lagegi bhali
Yaar ki mehfil mein kab ki patt chuki gandheriyan ... jhadoo lekar aaye hai shayad uthane bediyan
Tumhare pati ka naam tha Dwarka ... maal peeta tha woh pehli dhaar ka ... utaara na le neembu ka na achaar ka ... phir bhair kaise na badhe bekaar ka
by: Unknown
from: Sunghursh (1968)
code:
Dil paya albela maine ... tabiyat meri rangeeli ... aaj khushi mein maine bhai yahan ... thodi si bhaang peeli
Birha ki aag mein jalte hue purush ki hridaya ki jwala ... updesh ke ghee se nahi bhujti ... usse prem, daya, mamta ke gangajal se hi shaant kiya ja sakta hai
Raat bhar anda pakaya, phir bhi woh kacha reh gaya ... mar gaye shayar, lekin ullo-ka-patha reh gaya
Dane dane par likha hai khane waale ka naam ... woh teri hai aur teri hi rahegi subah shyam
Hazaron beh gaye in botalon ke bandh pani mein ... glasson mein joh doobe phir na ubhare zindagani mein
Nasha pilake girana toh sabko aata hai ... aare mazaa toh tab hai ki girton ko thaam le saakhi
Yaad mein nasha karta hoon aur nashe mein yaad karta hoon
by: Dev Anand
from: Guide (1965)
code:
Charon taraf dekhte hai toh har baat mein khot aur milavat ... nal ka pani pejiye toh us mein dawai ki milavat hai, saans lijiye toh hawa mein millon ke dhuan ki milavat hai, agar khana khaiye toh roti ke aate mein mitti ki milavat hai ... charon taraf har baat mein jhoot hai ... dua mein, salaam mein, pyar mein, nafrat mein, gusse mein ... sab mein jhoot hai
by: Dilip Kumar
from: Leader (1964)
code:
In cheezon se bhar chuka hai pet-e-natamam ... ab toh kuch aur hi khane ko jee chahta hai
Kele ka chilka pair ke neeche joh aa gaya ... jalwe bhi unke saath saath par phisal gaya
Haqeeqat mein hum sab andar se skeleton yane panjar hi toh hai ... farak sirf itna hai ki kisi panjar par makhan si chikni aur mulayam coating hai ... aur kisi panjar par gendhe jaisi moti khaal chadi hui hai
Daulat ka nasha bhang se zyada tezz hota hai
by: Unknown
from: Boy Friend (1961)
code:
Paan roz aakar udhaar khate ho ... aur uspe turrah yeh ke batwa chupate ho
Baimaani ke chocolate se imaandari ki chane hazar gunah zyada achche hai
Dil ki chupi umangon ko mat band rakho kabhi taalon mein ... lo hothon ki pyaas bhuja lo, nasha jhalakta pyaalon mein
by: Unknown
from: Navrang (1959)
code:
Nasha hai angoori aankhon mein ... nasha gulaabi gaalon mein ... arri haseena, nasha kahan hai in mitti ke pyaalon mein
by: Unknown
from: Navrang (1959)
code:
In chikni zulf ke phandon se saadi chotiyan achi hai ... aji bahar ke halwon se ghar ki rotiyan achi hai
by: Unknown
from: Navrang (1959)
code:
Main tum bin adhoora, jaise namak bin daal ... daal bin bhat, bhat bin Bengal
Jab pet ki roti aur jeb ka paisa chin jaata hai na ... toh koi samajh wamajh nahi reh jaati hai aadmi ke paas
Joota khane ke baad garam chai penicillin ka kaam deti hai
Kangi ko narangi kahein ... bane dhoodh ko khoya ... chalti ko gaadi kahein ... dekh Kabira roya
by: Unknown
from: Jagte Raho (1956)
code:
Kaun kambakht hai joh bardaasht karne ke liye peeta hai ... main toh peeta hoon ki bas saans le sakun
by: Dilip Kumar
from: Devdas (1955)
code:
Motor ameeron ki naukar hoti hai ... taxi gareebon ki ann daata
Pila de oak se saakhi joh humse nafrat hai ... pyala agar nahi deta na de, sharaab toh de
Karz ki peete the main lekin samajhte the ki haan ... rang layegi hamari faaqa masti ek din
Prem ke phal ka mazaa kadva zaroor hota hai ... lekin tazir meethi hoti hai
1 22 23 24

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.