Dialogues from Movies for Parties
Zindagi maaze lene ka naam hai ... kuch dene ka naam hai ... aur bahut kuch lene ka naam hai
Deewane se deewangi ka sabak na poochna ... woh khud nahi jaanta ki woh deewana kyun hai
Mehfil lagi hai yahan mohabbat karne waalon ki ... koi lutta hai toh koi lootta hi hai ... dilon ke khel mein aksar kahin na kahin sheesha tootta hi hai
Zindagi kisi ek ke ho jaane ka naam hai ... kisi ko lootne ka nahi ... kisi pe lut jaane ka naam hai
Maal hai aur malamaal bhi hai!
Main gareebi ka woh nivala hoon ... joh amir ke gaale mein atak jaye toh uska halak cheer ke rakh de
Ittihas yeh nahi dekhta kya sahi tha, kya galat ... kya mushkil tha, kya aasaan ... yaad toh yahi reh jaata hai ki kaun jeeta aur kaun haara
Shaheedon ke mazaaron par diye zaroor jalte hai ... lekin unke gharon mein choolay tak nahi jalte
Meetha bol bada anmol!
Maut toh har kisi ko aati hai ... nahi aati toh bas pyar ko maut nahi aati ... kabhi nahi aati
Insaan halaat ke bas mein hota hai ... halaat insaan ke bas mein nahi hote hai
Jab khushi itni zyada hoti hai ki dil mein nahi samaa paati ... toh aankhon se jhalak jaati hai
Dushmani ki talvar ki dhaar ek taraf nahi hoti hai ... dono taraf hoti hai
Aurat ka dil toh itna vishal hota hai ... ki sari duniya ki khushi us mein samaa jaye
Dosti bhulayi ja sakti hai ... dushmani nahi
Hota hai, chalta hai, duniya hai
Har khalnayak mein ek nayak chupa hua hota hai
Zindagi ke har natak mein ek hota hai nayak ... aur ek hota hai khalnayak
Aap kaam karte rahe ... aur main sota raha, sota raha, sota raha
Itni si umar aur itne jurm?
Insaaf na kanoon de sakta hai na police ... agar koi insaaf de sakta hai ... to ek insaan doosre insaan ko de sakta hai
Tumko meetha sochna bhi mana hai
Jaldi mein ho yah deri mein ho ... aadmi ko apna manners kabhi nahi bhoolna chahiye
Note mat karo, feel it ... feel karo, feel karo
Humko maloom hai heaven bahut beautiful jagah hai ... par wahan jaane ka humko itna jaldi nahi hai
Yahin kahin aas paas koi saala bahut sad hai re ... very sad, very sad
Arrey tu sad hota hai na ... main double sad hota hai re
Idhar ja rahe ho yah udhar ja rahe ho ... kidhar bhi ja rahe ho ... sab raasta God ke paas jata hai
Jis tarah bina sone ke zevar nahi ban sakta ... us hi tarah bina pitte koi aashiq nahi ban sakta
Manju ... mere khawabon ki rani, mere pyar ki nishani, meri mohabbat ki biryani
CID waale shaq ke dhaagon se hi yakeen ka ghar banate hai ... joh baad mein mujrim ke liye qaid khana ban jaata hai
Jab jab dharti par paap badha ... tab tab uska vinaash karne ke liye swayam Krishna ne janam liya
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
