Dialogues from Movies for Parties
Manzil ko paane ke liye insaan jab apne hi aasoon, khoon aur pasine mein lat-pat ho jaata hai ... toh mushkilen uska raasta kabhi nahi rok sakti
Waqt pe pahunchneka apna purana aadat hai
Kehne ko yeh shehar hai, sirf kehne ko ... par idhar jungle ka kanoon chalta hai
Galat cheez banaya telephone ... udhar se aadmi soochta kuch hai, bolta kuch hai, karta kuch hai
Kamzor ki dosti ... taqatwar ke vaar ko kam kar deti hai
Sirf tere haath hi nahi ... tera shareer, teri aatma, sab maile ho chuke hai
Sawaal jis zabaan mein kiya jaye ... jawaab us hi zabaan mein dena chahiye
Agar aaisa ho gaya toh apna khopdi phir jayega ... aur tumhara mundi kat jayega
Maine tumhe maa ke kadmo ke neeche swarg dhoondne ka paath padaya ... aur tum tawaif ke kadmo ke neeche nark dhoondne chale aaye ho
Vijay Dinanath Chauhan ... poora naam
Dushman se agar fayda ho ... toh usko apna dost banalo
Apna ussool kehta hai ... agar fayda ho toh jhoot ko sach maan lo ... dushman ko dost bana lo
Tum apni maut ki taraf chal nahi ... balki daud rahe ho
Insaan bhi pehle janwar tha ... sadiyan lagi usse janwar se insaan banne mein ... lekin tujhe insaan se janwar banne mein zara bhi waqt nahi laga
Is duniya mein tarakki karne ke liye ... na bolna bahut zaroori hai
Ekta ne jab jab khoon bahaya hai ... tab tab kranti aayi hai
Gadhe ki peeth par vakalat ki kitaab rakhne se ... gadha vakil nahi banta
Ek chota aadmi apne ochepan ka saboot tab deta hai ... jab woh bewajah kisi ki kabiliyat pe shak karta hai
Rishta wahi safal ho sakta hai ... jisme do logon ke beech barabari ho
Bahar ki duniya mein kadam rakhte hi tumko pata chal jayega ... ki zindagi kis berehami se mushkilon ka samna karati hai
Sansar mein agar koi cheez logon ko zinda rakhti hai na ... toh woh pyar hai, pyar
Koi bhi rishta kitna bhi mahaan, kitna bhi bada kyun na ho ... uske khatam ho jane se zindagi khatam nahi hoti
Tumhara naam maine sirf apne jism par hi nahi ... apne dil, apne dimag aur apni aatma par bhi gaad diya hai
Ab mujhe tumhe pyar karne se koi nahi rok sakta ... tum bhi nahi
Talwar kitni bhi tezz ho ... lekin apne mayaan ko kabhi nahi kaatti
Maut ke baad maut ... tumhe kai mauten maroonga
Jab zulm sehne waala apna sar jhuka leta hai ... toh zulm karne waale ki taqat badh jaati hai
Tumhare jaise gunahgaron ke khilaf mere jaise officer ... file nahi banate ... faisla kar dete hai
Jiske sar par kafan banda ho ... uske sar par sehra nahi bandh sakta
Purana kaam chhodne se purani dushmani nahi choot jaati
Kanoon jazbaat ki nahi sabooton ki zabaan sunta hai
Suraj paschim se nikal sakta hai ... chandni aag barsa sakti hai ... lekin tujh jaisa mujrim kabhi nahi sudhar sakta
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
