Dialogues from Movies for Parties
Khilte hai gul yahan khilke bhikharne ko ... milte hai dil yahan milke bichadne ko
Zara si der ho jayegi toh kya hoga ... ghadi ghadi na uthao nazar, ghadi ki taraf
Chaman mein ikhtalat-e-rangboo se baat banti hai ... hum hi hum hai toh kya hum hai ... tum hi tum ho toh kya tum ho
Haya se sar jhuka lena, ada se muskura dena ... haseeno ko bhi kitna sehal hai, bijli gira dena
Joh kali dulhan bani hai woh chaman ki jaan hai ... par dahej joh kuch mila hai, jung ka samaan hai ... aap meri toop hai aur sasur captaan
Hawa badal gayi hai aaisi kuch zamaane ki ... duayen maangta hoon hosh mein aane ki
Gulshan parast hoon mujhe gul hi nahi aziz ... kaanto se bhi nibah kiye ja raha hoon main
Jiska mann saaf hota hai ... uski nazar bhi saaf hoti hai
Jabbar Singh ne sirf do hi baatein seekhi hai ... ek mauke ka fayda uthana ... aur apne dushman ka naam aur nishaan mitta dena
Main joh chahta hoon woh paata nahi ... aur joh paata hoon woh sirf ek ittefaq hai
Har dayaar mein aati hai phir bahaar ... khilte hai phool bhi wahan daur-e-fiza ke baad
Talash zindagi ka doosra naam hai ... kisi ko rozi ki talash hai aur kisi ko chain aur sukoon ki
Haste huye insaan ke saath saari duniya hasti hai ... lekin jab woh rota hai toh akela rota hai
Na zehan mein aap, na rum mein aap ... dono jahan pukar aaye, kahan hai aap ... itna guroor husn pe achcha nahi janaab ... humko lagalo dil se samajhkar yahi kitaab
Joh aaj naya hai, kal purana ho jayega ... joh aaj purana hai, kal naya bankar samne aayega
Naya kitna hi naya kyun na ho ... uski buniyaad purani hoti hai
Jab jeb thandi hoti hai toh dimaag garam ho jaata hai
Aadat kisi bhi kisam ki ho achchi ya buri ... uska ghulam hona buri aadat hai
Do suiyon ke beech zindagi kya kya khel dikhaye ... naya purana natak karta waqt guzarta jaye
Agar hum apne buzurgon ki nakhushi ki buniyaad par apni khushiyon ki imaarat khadi karenge ... toh woh zyada din nahi tik payegi
Dushmani ko khareedne kahi jana nahi padta ... aur dosti kisi bhi keemat pe nahi milti
Yeh whiskey soda agar aap peeyega ... toh whiskey soda andar aur aapka dum bahar
Kutte aur aadmi ki nasal kaan kheench kar hi pata chalti hai
Hamare paas camere ka bahana nahi, lekin dil mein zaroor chhap leke jayenge aapki
Main jin logon se kamata hoon ... pehle unke dil ko tatollta hoon aur bad mein unki jeb ko
Mere aur tumhare darmiyan sirf itna faasla hai ... ki ek jhappad dunga aur tumhare yeh saare adarsh jiska tum log itna dum bharte rehte ho, bahar girke hawa mein gayab ho jayenge
Suhaag ki raat sirf do shareero ka hi nahi ... do dilon ka, do jeevano ka sangam hota hai
Haara hua juari aur bighada hua raees bahut khatarnak hota hai
Bijli giri Musharabad mein aur ghar jala Moradabad mein
Is duniya mein do taang waala janwar sabse khatarnak janwar hai
Ek aurat ki zindagi mein motor, banglay, dhan, daulat, in sab cheezon ki koi keemat nahi ... usse sirf ek acha pati chahiye joh usse pyar kare ... aur jiske kadamon mein woh apni duniya rakh de
Jeene na degi aankhen teri dilruba mujhe ... in khidkiyon se jhaank rahi hai kazaa mujhe
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
