Dialogues from Movies for Parties
Koi sau baar milkar bhi paraya hi rehta hai ... aur koi pehli hi baar milkar apna ho jaata hai
Jahan na jaaye ravi, wahan pahunche kavi
Ek sache dost ke rishtey mein, maa, baap, aur bhai behen ka pyar bhi shamil hota hai
Main dekhta hoon sach hai kahin khwaab toh nahi ... yeh weham tera hai dil-e-betaab toh nahi
Meri zindagi mein aate toh kuch aur baat hoti ... yeh naseeb jagmate toh kuch aur baat hoti
Aadmi ke paon mein agar koi zanjeer na ho toh uske liye ghar aur bahar, done ek se hai
Ration par bhashan bahut hai ... lekin bhashan par ration koi nahi
Logon ke paas tann dhakne ko kapda nahi ... aur inhe tann dhakne ka shaunk nahi
Yeh dharti ek aaisi hatheli hai ... jis par kisaan hal chalakar, insaan ke taqdeer ki lakeerein kheenchta hai
Aap hamare paseene se logon ka khoon chooste hai
Vishvas toh ek aaisa bandhan hai ... joh ek insaan ko doosre insaan ke kareeb lata hai
Shehar mein rehkar, nayi roshni mein palkar ... hamara libaas badal sakta hai ... hamari sabhyata toh nahi
Zameen toh maa hoti hai ... aur maa ke tukde nahi kiye jaate
Ek lafz-e-mohabbat ka itna hi fasana hai ... simte toh dil-e-aashiq, phailey toh zamana hai
Main ek aise desh mein pehda hua hoon jahan mohabbat karne walo ki umar dekhi jaati hai ... unke baalon ka rang dekha jaata hai ... unke dil ka rang koi nahi dekhta
Sabse bhayanak janwar aadmi hota hai ... bas usse darna chahiye
Humein hamari hi soorat dikha gaya koi ... hasi-hasi mein hi pagal bana gaya koi
Chup chup se woh behte hai, aankhon mein nammi si hai ... nazuk si nigaahon mein nazuk sa fasana hai
Inki sundarta ki tareef karna toh chand ko aaina dikhana hai
Is sansar mein joh dikhta hai, woh nahi hai ... aur joh nahi dikhta hai, samajho avasha hai
Poochte raho aur jagaye rakho mujhe din raat ... hazar saal tak main bookha pyasa rahoonga ... aur phir bhi main yahi kahoonga ki main begunah hoon
Kasam lelo joh mehfil mein tumhe danista dekha ho ... nazar aakhir nazar hai beirrada uth gayi hogi ... tajub kya lagi agar aa gaye Meena ji seene mein ... hazaron dil mein angaray bhare the, dab gayi hogi
Jab aap chalti hai toh raaste ke patthar bhi phool ban jaate hai
Apne aap ko dokha dekar, jhooth, dikhava, in sabke sahare jeene se kahin acha hai mar jaana ... us sach ko apna kar joh mann ka sach hai
Pyar jab kacha hota hai, toh dil ki dhadkan nagade ki tarah bajne lagti hai
Hum sab toh bhagwan ke khilone hai ... woh jab chahta banata hai, jab chahta hai todh deta hai
Kehte hai maut sabko juda kar deti hai ... lekin yehi maut kuch logon ko mila bhi deti hai ... hamesha ke liye
Fareb de gayi Adam ko kya hai aurat bhi ... siyaahkhana bana dala isne jannat bhi
Hum toh actor log hai, wah pe zinda hai ... dekhne wale wah na kare, toh dil se aah nikalti hai
Dagabaazi agar karni thi ulfat kyun jatayi ... jafaaon ne teri bedard seena jaag kar dala ... simatghar bewafa tune jala kar khaak kar dala
Mohabbat shehad bhi hai, zehar bhi, talwar ka gham bhi ... yeh woh zalim maseeha hai ke zakhmi ho gaye hum bhi
Main ishq hoon ... ishq jisne seekha nahi duniya mein kisi se darna ... jisne seekha hai agar kuch toh mohabbat karna ... husn ke naam par mitt jana, fanaa ho jana ... jaan se khelna, tasveer-e-wafa ho jana
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
