dialogues for Tag: Family
Tag: Family
Neeche tumhari aunty bahut se uncles ko lekar aayi hai
Jab tak ek bhai bol raha hai, ek bhai sun raha hai ... jab ek mujrim bolega, ek police officer sunega
Ghar ek qila ki tarah hota hai ... aur us mein basne waale log maa, baap, bhai, behen, bachche uski deewar ... kisi bhi deewar mein zara si bhi daraar padh jaye ... toh deewar hi nahi gir jaati balki ghar hi toot girta hai
Saas kisi ki bhi ho ... sab ek jaisi hoti hai
Har saas yeh bhool jaati hai ki woh bhi kabhi bahu thi ... aur har bahu yeh bhool jaati hai ki usse bhi ek din kisi ki saas banna hai
Jab ghar ki jawaan bahu bahar rang raliyan manati phire ... toh budhe sasur ko neend kaise aa sakti hai
Ghar mein devi jaisi bahu hai, toh phir tirth yatra ki kya zaroorat?
Mard ko apni aurat par aur aurat ko apne mard par yakeen hona chahiye ... toh hi family happy ho sakti hai
Ladki khandan ki ek band mutthi hai ... jab tak yeh mutthi band hai sharafat, sharafat hai ... jis din yeh mutthi khul gayi ... ek shareef ladki aur ek bazaari aurat mein koi farak nahi
Insaan jab gunaah karta hai toh sazaa sirf ussi ko milti hai ... lekin jab woh shaadi karta hai, toh uska asar sare ghar par hota hai ... chahe woh acha ho, chahe bura
Yeh komal kali, naazon ki pali, misri ki gali ... hamare hi kul mein lagegi bhali
Fakira jama nadi mein, sabki maange khair ... ho gayi dosti Mahesh se, ab na raha khandan ka bair
Rishtey naate ke liye khazana nahi ... gharana dekha jaata hai
Hukumaten khandano se nahi usoolon se chalti hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
