Page 62 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

62 (of 459 pages) | 32 (of 14664 items)
1 61 62 63 459
Acchai aur acche log ek roshni ki tarah hai ... apne aap mein hi ujaala hai ... kehne ki zaroorat nahi hoti ... dikh jaate hai
Uska bank balance itna hai ki bank bhi balance nahi kar paata hai
Door se dekha toh Alia Bhatt ... paas aakar dekha toh Mahesh Bhatt
Ek baar aagad paachad sahi dikhe na ... toh ladka aagad paachad ghoomta rahega
Maana door se dekha toh moongphali hai ... paas aakar dekh tera Baahubali hai
Pehle line mein honesty ... doosre line mein molesty
Iski pehli line aafat thi ... lekin last line mein rahat thi
Dil mein aata hoon samajh mein nahi ... pant mein aata hoon shirt mein nahi ... cycle pe aata hoon gaadi mein nahi ... aur sun langoth mein aata hoon shorts mein nahi
Salamat hai har woh bete ka papa ... jiske saath hai Ganpati Bappa
Pehli line mein panga ... doosri line mein main nanga
College mein aata hoon lekin lecture mein nahi aata hoon ... six pack mein aata hoon lekin family pack mein nahi aata hoon ... bus mein aata hoon lekin kisi ke bas mein nahi
Life mein main sirf do cheezon ki izzat karta hoon ... ek maa aur doosra khana ... kyun ki ek humein janam deti hai aur doosri humein zinda rakhti hai
Duniya ka sabse amir insaan bhi na maa baap ke bina gareeb hota hai
Joh main bolta hoon, woh main karta hoon ... aur joh main nahi bolta hoon, woh main WhatsApp karta hoon
Raja ki izzat hai na koi Saundarya sabun ki tikiya nahi hai ... joh tu gis-giske dho-dhoke phek daale
Bina kursi ke neta ... bina superhit ke abhineta ... aur bina chamber ke vakeel ki koi izzat nahi hai guru
Tumhara yeh mendak sa mooh dekhkar hum samajh gaye the ke tum bahut phudkoge
Bekaar aadmi kuch kiya kar ... kapde udherkar siya kar
Is baar angrezi mein Barack Obama ki maa bhi tumhe fail nahi kar sakti
Hum jis din apni aukaat par aaye na ... by god us din tumhare adab ki pudiya banakar tumhare pichwade mein ghused denge ... na paadein niklengi na huggi
Ya toh aap shikaar karte hai ya shikaar ho jaate hai
When you shake hands with somebody ... toh unke fingerprints sirf aapke haath par nahi ... aapke dil par bhi chhap jaate hai
Joh sacrifice karta hai ... God usse sabse zyada pyar karta hai
Pyar mein bahut taqat hoti hai ... it can turn poison into medicine ... thorns into petals
Yahan aaj kal har shaksh, har pal haadsa hone se darta hai ... khilona hai joh mitti ka woh fanaa hone se darta hai ... hum sabke dilon ke kisi kone mein yeh masoom bache bachiyan ... hum badhon ki dekhkar duniya, bada hone se darte hai
Zindagi kabhi kabhi insaan ko umar se zyada umar daraz bana deti hai
Hosh nahi tha khoya abhi ... josh nahi tha soya abhi ... dil mein hausle the, aankhon mein sapne the, haath mein kalam thi ... zindagi ki dastaan abhi likhni baaki thi
Mumbai ki yahi problem hai ... aadmi koode ki jagah par behatta hai ... aur kooda aadmi ki jagah pe
Pyar kabhi cheena nahi jaata ... na hi khareeda jaata hai ... pyar toh sirf mehsoos kiya jaata hai
Kayi baar off-beat cheezein logon ko beat pe laati hai
Log humein nahi chhodte hai ... hum logon ko chhodte hai
Jab suraj aankhen band kare, sajke nikalti hai Mumbai ... kabhi uljhati, kabhi girati, kabhi sambhalti hai Mumbai ... kabhi baap ka thappad, kabhi maa ki godh hai Mumbai ... tang galiyon ki bul-bulaiyan, kabhi phaila samundar hai Mumbai ... pal pal kachole badalti jhole ka pitara hai Mumbai ... sapno bhari aankhon ka, beghar banjaron ka, mohabbat ke maaron ka aasra hai Mumbai ... kabhi sangdil toh kabhi humdil ... pairon mein chakkar dale har pal daudti hai Mumbai ... maano toh maya nagri, na maano toh patthar ka shehar hai Mumbai
1 61 62 63 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..