dialogues for Tag:
Tag:
Tu abhi itna amir nahi hua beta ... ki apni maa ko khareed sake
Mere paas maa hai
(Kaun ho tum?) ... Kahi naam hai mere ... gareeb maa baap mujhe apna beta kehte hai, mazloom ladkiyan apna bhai ... besahare yateemon ka dost hoon aur zalimon ka dushman
Maa ki mamta ko maut ke thapadhe bhi nahi badal sakte
Khili thi chaandni, charon taraf pani barasta tha ... main jab pehda hua, toh meri maa roti thi aur baap hasta tha
(Koi ladki tumse nahi takrai?) ... Takrai ... takrake gabrai, gabrake sharmai, upar se uski mummy chali aayi ... is liye ladki haath nahi aayi
Hai Ram kya waqt aa gaya hai ... maa ki shiksha ka amrut bhi beti ko zehar lag raha hai
Beti ke aasoon dekh kar bhi yadi pita ka dil na roye ... toh woh dil nahin patthar hai
Yahan maa baap ke liye aulad sab kuch hai ... aur aulad ke liye maa baap?
Main janta hoon joh kuch bhi isne kiya usse koi maaf nahi kar sakta ... bhagwan bhi nahi ... lekin ek maa maaf kar sakti hai
Ek maa ke dil ka sabse bada armaan ... bete ka byah hota hai
Jise dost ka haath thaam le aur maa ka aashirwad mil jaye ... woh zindagi ki har manzil tay kar sakta hai
Aaj main sari duniya ke samne sar uthake keh sakta hoon ... najane kitne janam lene ke baad, najane kitni tapasya ke baad ... tum jaisi maa, tum jaisi devi ka beta ban saka
Apne bachchon ke khatir kabhi na kabhi har maa ko rona padta hai ... koi aasoon bahakar roti hai aur koi aasoon peekar
Zameen toh maa hoti hai ... aur maa ke tukde nahi kiye jaate
Khili thi dhoop-e-harsam aur pani barasta tha ... jab tu paida hua toh teri maa roti thi aur baap hasta tha
Har maa ke dil ke kisi kone mein ek bahu chupi hoti hai ... joh ek din haathon mein kadhe, paon mein chhade ... cham-cham karti chali aati hai
Insaan apne maa baap ke naam se nahi ... apne ghuno se achcha ya bura samjha jaata hai
Jis insaan ko maa ki mamta naseeb nahi hui ... us jaisa koi badnaseeb nahi
Aulad ki taqdeer maa ke aasoonyon se hi chamakti hai
Is duniya mein paisa nahi toh kuch nahi ... baap ki shafqat paisa, maa ki mamta paisa, aurat ka pyar paisa ... paisa, paisa, paisa
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
