dialogues for Tag: Rowdyism
Tag: Rowdyism
Bhaago, chupo, joh karna hai karo ... par main tum sabko dhoond nikalunga ... aur ek ek karke itminan se khatam karunga
Suna hai ki bahut sare log mere peeche pade hai ... bas mere mudne ki der hai
(Insaaf dilayega tu?) - Insaaf nahi, saaf karne aaya hoon
Kayde mein raho, fayde mein rahoge ... varna shamshan ya kabristan mein rahoge
Mere gusse par mera full control hai ... lekin is harkat ki wajah se gusse ne mujhpar full control le liya hai
Humein ghanta farak padta hai ki logon ko kya lagta hai, ki hum villain hai ki hero hai ... hamari kahani mein hum hero hai
Goli se maarenge toh goli ka naam hoga ... bomb se maarenge toh bomb mashoor hoga ... kisaan ka beta hai hum, bahut dum hai haath mein ... apne haath se maarenge usko aur khud mashoor honge
Maalik pehda nahi huye toh kya ... ban toh sakte hai
Yeh hamari lanka hai ... is lanka mein kadam rakhne se bhagwan bhi darta hai ... na koi bhagwan aaya hai ... na kabhi aa payega
Tu subah se jahan ghoom raha hai ... woh zameen, yeh aasmaan, woh samundar sab mera hai ... yahan ka suraj bhi mujhse garmi maangta hai ... yahan ka samundar meri gehrayi se darta hai
Yeh normal item nahi hai ... atom bomb hai
Yeh Ranatunga ki lanka hai ... yahan pe raasta kilometer mein nahi ... bichi huyi laashon mein naapa jaata hai
Wrong ho ya right ... meri marzi hi meri marzi hai
Aaj ke baad Adaa jis gali se guzri ... agar us gali se tumhari soch bhi guzri na ... toh Mantralay ho ya sauchalay ... dono jagah khade hone ke layak nahi chhodunga
Attitude utna hi dikha jitna teri shakal pe suit kare
Chingaari lagakar tujhe yeh laga tune aag par kaabu paa liya ... yeh galatfehmi mat paalna ... yahan barood ka dher behta hai tujh jaison ko raakh karne ke liye
Agar mere saath dagabaazi ki na ... toh maarne se pehle tujhe randwa bana doonga
Ghayal hoon is liye ghatak hoon
Rehman Dakait ki di huyi maut badi kasainuma hoti hai
(Jaanta nahi kiske samne khada hai?) - Bhagwan tum ho nahi sakte ... insaan tum lagte nahi ... aur shaitaan se main nahi darta
Ravikumar aadmi nahi aandhi hai ... teri sultanat udda ke rakh dega
(Yeh tum har baat pe dialogue kyun maarte ho?) - Kyun ki har superhit action se pehle ... superhit dialogue zaroori hota hai
Joh Ravikumar se ulajhta hai uski photo pe haar latakta hai
(Aa raha hoon main) - Immigration ke baad seedha tera cremation hoga
Sudhar ja nahi toh guzar jayega
Tu bura hai toh main bure logon ka nawab hoon ... tu bada hoke bighda hoga ... main bachpan se kharaab hoon
Tere shareer mein itna khoon nahi hoga ... jitna Ravikumar ek baar mein moot deta hai
Kundli mein shani, ghee ke saath honey, aur Ravikumar se dushmani ... sehat ke liye hanikarak ho sakti hai
Mujrimon ko joh saaza de usse sarkar kehte hai ... mujrimon ko joh udda de usse Ravikumar kehte hai
(Dimmag hila hua hai kya tera?) - Dimaag nahi ... dil
Har aashiq mein ek villain hai
Kundi khatkaun ya seedha andar aaun
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
