dialogues for cast:
cast:
Sari zindagi kai tasveerein seene se lagayi rakhi ... kabhi khud ki tasveer yaad nahi rakhi
Ek ladki joh chhat se apne papa ko dhakel de, usse ka kehte hai batao? ... push-paa!
Moongphali mein chilke aur laundiya mein nakhre na hote ... toh zindagi kitni aasaan hoti
Laundiya ko ghumana ho, jeb mein haath daalo note nikal aata hai ... laundiya ko gol-gappa khilana ho, jeb mein haath daalo note nikal aayega ... laundiya ko cinema dikhana ho, jeb mein haath daalo ... kya nikal aata hai? ... (note) ... lekin jab jeb phatti hogi, us mein haath daloge toh kya nikaloge ... ghanta!
Is duniya ka har ladka bachkana hai, har ladki insecure hai aur hum sab real life mein cheezy hai
Ladka ladki bhaagkar gale milte hai, toh milne de ... slow motion hone de, sunset hone de, gaane bajhte hai toh bajhne de ... main toh kehta hoon ki dono puppy lete hai toh lene de
Tum log suno-gay ... toh hairan ho jao-gay ... pata nahi kya socho-gay ... kya samajho-gay ... aur mere liye kya kaho-gay
Bahut samajh samajhke samajh mein aaya hai ... ki pyar ko sirf pyar hi samajh sakta hai
Samajh samajhke samajh ko samajho ... samajh samajhna bhi samajh hai ... samajh samajhke joh na samajhe meri samajh mein woh nasamajh hai ... aye nasamajh, nasamajh naa samajh mujhe ... meri samajh teri samajh ke bahar hai ... samajhe?
Hoshiyaari toh hoshiyaar logon se ki jaati hai
Daal mein kaala ho ya garam masala ... kahan chup gaya hai saala?
Galati se galati ho gayi
Mera dushman toh paida hote hi phas jaate hai
Takleef humko ka takleef degi ... hum toh khud takleefon ko takleef de dete hai
Daal ke bataya nahi jaata ... aur bata ke daala nahi jaata
Aankhen hai toh dekh le, nahi khulega gate ... aur bahut bookha pyasa hai, toh kahin aur jaake kha chocolate
Madamji ko jeetne chale hai Dev Pratap ... saath hai Sanjeevani, khatam karenge paap
Akal shakal ke chakkar mein, jurm na ho sangeen ... hum toh mast vanar hai, kabhi na ho gangeen
Love marriage mein aadmi khud apni marzi se kuaye ke andhar jaata hai ... arranged marriage mein aadmi ka pura khandaan usko kuaye ke andhar dhakel deta hai ... lekin jaata toh kuaye mein hi hai
Joh jee nahi sakta hai tumhare without ... uspe tumko itna hai doubt
Khubsoorti se badkar kapda hota hai aur kapde se badkar nakhra hota hai
Priya jab assi saal ki ho jayegi na ... I promise you main tab bhi usko itna hi pyar karoonga ... dhoop mein iska chashma banuga, baarish mein iska chaata ... kyun ki pyar ke sivah mujhko kuch nahi aata
Kuch paane ke liye kuch khona padta hai ... aur joh nahi bhi ho, woh bhi hona padta hai
Meri girlfriend ke saath tu saiyaan banke, naiya ke upar, chaiyya chaiyya kare ... aur main UP ka bhaiya banke wahan kinare pe se haath hilaon
Mera sirf ek screw dheela hai ... baki sab tight hai
Tum jaisi biwiyan old case ho jaati na ... toh itna bhadakne lagti ... showcase mein rakhne layak nahi rehti
Sabak wafaa ka sikhaya bhi ja nahi sakta ... joh seekh lo toh bhulaya bhi ja nahi sakta .. yeh haseen dard dil mein chupaya bhi ja nahi sakta ... aur koi pooche toh bataya bhi ja nahi sakta
Tere baba ne kya diya mereku ... ek lota, ek thali, ek lungi woh bhi phateli, ek potti woh bhi hateli ... arre tu hamesha samajhti mujh ko kamina, hat ja kidhar hai meri Meena
Is chor bazaar mein aake apne ho gaye vare nyare ... apun akhiyon se goli maare
Kyun be sukhe hue chuare ... baasi udad ke papad!
Hospital mein chloroform ki jagah agar tere kapde soongah diye ja na ... toh patient coma mein chala jayega
Haath unhi ke jalte hai joh aag bhujane ki koshish karte hai ... aag jalane waalon ke haath kabhi nahi jalte
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
