dialogues for Tag:
Tag:
Abhi shareer mein garmi hai beta ... jab thanda ho jaye toh jhauk dena aag mein
Shareer jitna thanda hoga, jalne mein utna hi anand aayega
Sharam yahan ka sabse anmol gehna hai
Beti ke aasoon dekh kar bhi yadi pita ka dil na roye ... toh woh dil nahin patthar hai
Agar tumhare maathey ki bindiya aur maang ka sindoor, suhaag ki nishani nahi kalank hai ... toh mitta do isse
Yahan maa baap ke liye aulad sab kuch hai ... aur aulad ke liye maa baap?
Dil bada hona badi khatarnak baat hai
Kabhi kabhi puraane dino ki yaad ... sehat ke liye bahut achchi hoti hai
Insaan is duniya mein chaar din ki zindagi guzaarne aata hai ... lekin chaalis din ka gham usse gehre rakhta hai
Duniya mein ek cheez sher-e-babbar se bhi zyada khatarnak aur darawani hai ... aur woh hai gareebi aur bhookh
Tu khoyi hai jiske liye is tarah ... bhool jaye tujhe is tarah, jis tarah bhool jaati hai subah gayi raat ko ... bhool jaata hai pagal kahi baat ko
Bhagwan ki kaisi anokhi leela hai ... kabhi sab kuch cheen leta hai ... kabhi bahut kuch de deta hai
Jab ghar ki jawaan bahu bahar rang raliyan manati phire ... toh budhe sasur ko neend kaise aa sakti hai
Kailash khud nahi sochta ... doosro ko majboor karta hai sochne ke liye
Main joh aag lagata hoon ... usse bhujana bhi jaanta hoon
Aandhi mein udhte hue patte ko kya malum ... usse kahan se kahan bhatakna hoga
Apnepan ke liye kisiko apna banana zaroori nahi ... jisse bhi apnapan mil jaye wohi apna hai
Insaan sirf ek hadh tak bardaash karne ki taqat rakhta hai ... aur takleef hadh se bahar ho jaaye ... toh uska har ussool sheshay ki tarah toot tootkar girne lagta hai
Woh ladki, ladki kya ... joh bade se bade aadmi ki neeyat ko dolne pe majboor na kar de
Woh aadmi pehda nahin hua ... kabhi na kabhi jiski neeyat na doli ho
Tumhare liye chaand bech sakta hoon ... lekin imaan nahi
Aadmi ke jab burre din aate hai ... toh uski akal maari jaati hai
Insaan badi cheez ke liye kisi waqt bhi choti cheez ko chhod sakta hai
Bure kaam karte karte buri aadatein padh hi jaati hain
Vidhata ne jab jeevan aur mrityu ke daurahe par doobara lakar khada kar diya hai ... toh is khel ko jeevan ki baazi lagakar hi khatam karoonga
Koi mujhpar taras nahi khaata, koi patthar pighal nahi paata ... koi sunta nahi meri fariyaad, ek main aur saikadon jallad
Hum mein lagi hai joh thokar, tu muskurata hai ... yeh waqt woh hai, ki dushman bhi raham khata hai
Ishq se joh bacha nahi rehta ... woh kisi kaam ka nahi rehta
Kaunsi gutthi hai woh joh humne suljahi nahi ... aaisi fariyaad aaj tak darbar mein aayi nahi
Dhongi shaadi ka tumne rachaya fisool ... na kiya na karoongi yeh rishta kabool
Tere zakhm meri tadap se harre hai ... meri aankh mein tere aasoon bhare hai
Chedke dil ke tootte taaron ko, ab tum uski sadaa se darte ho ... khud hi toofan uthaye hai tumne, aur khud hi hawa se darte ho
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
