Dialogues from Movies for Parties
Ghar ghar ki kahani vulgar ki rani ho gayi hai
Hum do jism ek jaan hai ... unhi se mera savera, meri har ek shyam hai ... unhi ke charano mein mere charon dhaam hai
Tere mein woh khami hai joh ek amir aadmi bhi khareed nahi sakta ... (kya?) ... gareebi!
Wah Bharatiya naari ... mann mein lajja, tann pe saree
Meri beti ki liye mujhe woh patti chahiye joh sympathy nahi ... mujhe sampatti lakar de
Isse kehte hai mast chick ... one piece item in two piece bikini
Main toh apna blood samjha tha ... tu toh blood cancer nikla
Jab mein ek peg peeta hoon na, main kisi ke baap ki nahi sunta ... jab mein do peg peeta hoon, toh main apne aap ki bhi nahi sunta ... jab main teen peg peeta hoon, tab koi bhi mera nahi sunta
God samajhta main aapko ... magar aap toh godzilla nikle
Is shehar mein achcha vakil kanoon jaanta hai ... aur bahut achcha vakil judge ko jaanta hai
Life without you is no fun ... because I've turned into an orphan
Main paison ka aaisa multiplication karoonga ... ki dekhte dekhte aapke chehre pe joh smile hai uska subtraction ho jayega ... aapke dimaag ka division ho jayega ... aur meri zindagi mein aapki beti ka addition ho jayega
Ab yeh slumdog ... millionaire ban gaya!
Abhe mobile tower bulaya tha ... yeh sim card kahan se aa gaya
Waqt ka pata nahi chalta hai apno ke saath ... lekin apno ka pata chal jaata hai waqt ke saath
Jahan kabootar ka naam Masakali ho sakta hai ... zameen pe rehkar ghode ka naam Badal ho sakta hai ... aadmi ka naam Mahela Jayawardene ho sakta hai ... toh inka naam Entertainment kyun nahi ho sakta hai
Ek sainik jeete ji toh samman paata hai ... lekin shaheed hone ke baad bhi usse ekkees toppon ki salaami milti hai
Imaandari ka raasta pathrila zaroor hai ... lekin pahunchata sahi manzil par hai
Imaandari na bazaar mein khareedi jaati hai aur na hi kagaz par likhi koi aaisi pankti hai jisse yaad karlo ... imaandari ek sanskar hai
Udaan pankhon se hoti na toh mor sabse ooncha udhta ... udaan hoti hai hausalon se
He is two rupees people
Tum sabke dard mein mujhe khushi nahi milti ... sukoon milta hai
Hum middle class log hai ... upper class aur lower class ke beech mein sandwich bane huye hai
Aaj ke baad aapko shikayat ka mauka nahi milega
Is andhere ko roshni koi diya nahi ... sirf teri chitta ki aag de sakti hai
Har love story mein ek hero hota hai, ek heroine aur ek villain
Zyadatar insaan pehda hota aam hai, jeeta aam hai, marta aam hai ... bade parde pe ya duniya mein na sahi ... kam se kam usse apne ghar pe, apne apno ke nazaron mein toh hero hona chahiye
Tu jitna marne ke liye marega ... utni hi tujhe zindagi milegi
Jab tera dard kam ho jayega ... jab tera har zakhm bhar jayega ... main phir aaonga tujhe naye zakhm dene ... aaj se yahi hai tera muqaddar, yahi hai teri sazaa
Gunahgar hamesha wahi lautta hai jahan usne gunah kiya hai ... aur aashiq hamesha wahi lautta hai jahan usne aashiqui ki hai
Tum sabki nikalti jaan ke saath ... meri har chinta, sari stress bhi nikal jaati hai
Shaitan ki ek khasiyat hai ... apne hi janaze mein shamil hona uski fitrat hai ... nafrat uska hathyar, gussa uska barood ... humdardi usse aati nahi aur pyar koi usse karta nahi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
