Dialogues from Movies for Parties
Rishteydari taqat waalo ke saath nahin ... sharafat waalo ke saath ki jati hai
Main har test pass karke dikhaonga ... chahe yeh mera blood test kyun nah lele
Bag uthakar padne gaya toh master ne kaha school chhod de ... bat ball uthakar mohalle mein gaya toh bachchon ne kaha khelna chhod de ... scooter uthakar ghar se bahar gaya toh padosi ne kaha Malad tak chhod de ... aur aaj papa ne kaha ghar hi chhod de
Awara kutta Mercedes ke peeche bhaag toh sakta hai ... lekin usse chala nahin sakta
Oye kake Punjabi na toh chup chap aate hain, na hi chup chap jaate hain
Unki gali mein hum aaye ajeeb ittefaq hai ... phool toh pheka unhone ... magar gamla bhi saath hai
Duniya mein teen cheezen hoti zaroor hai lekin kisi ne dekhi nahin ... bhooton ka sansar, sacha wala pyar aur Bahattar Singh ki raftaar
Shaadi byah ke mamle mein ... aate mein namak jitna jhoot chalta hai
Jab tak machli khud ba khud kaante ki nazdeek na aaye ... kaanta machli toh kya, ek machchar bhi nahi maar sakta
Kisi ki bhi insaan ko ek hi gunah ki sazaa do baar nahi milni chahiye
Joker pehle bhi kisi rang ka hissa nahi tha ... aage bhi nahi hoga ... joker apne hi rang mein rangega
Joker jiska hua ... baazi uski
Din mein karobaar ... raat ko gharbaar
Kissing ka best part kiss hone se theek ek pal pehle ka hota hai ... jab pata nahin ki kiss hogi yah nahin ... kiss hogi toh kaisi hogi
Kaam kaam kaam ... subah dophar shaam
Har jism ki ek expiry date hoti hai
Sirf ek hi shikayat hai apne khoon ke rang se ... iska rang mere ehsaas ki tarah gehra nahin
Joh pagal na karde woh ishq hi kya
Itni shiddat se wahi nafrat kar sakta hai ... jisne mohabbat bhi itni shiddat se ki ho
Yeh duniya pyar ki sirf baatein karti hai ... chalti jung pe hai
Us swarg se kya lena jismein tum nahin ... aur us nark se kya darna jismein tum saath ho
Pyar ishq mohabbat ... duniya ka sabse aakhri aur khatarnak nasha hai
Jis din sab barabar ho gaye ... society ke saare problem khatam
Insaan ki zindagi mein kuch haadse aaise hote hai ... jis mein woh bach toh jaata hai ... lekin zinda nahi rehta
Gale lagata hoon bas ... gale mein latkata nahi hoon kisi ko
Logo ke haath mein gun nahi hogi toh woh ek doosre ko chaku se maarenge ... chaku nahi rahega toh dande se maarenge ... lekin maarenge zaroor
Jhoot bolta nahi ... sach samajhta nahi
Saath mein picture dekhi, samose khaye, haath pakda ... uske baad kiss ka hi number aata hai na?
Log apni zindagi banate hai ... main apni jannat banata hoon
Koi dua mat maangna ... sirf pyar karna mujhe
Ya toh inhe mujhe maarna hoga ... ya phir haarkar tujhe mere paas bhejna hoga
Joh dil jeette hai woh kabhi haarte nahi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
