Dialogues from Movies for Parties
Do log tabhi milte hai jab destiny unko milvana chahti hai
Agar tum destiny ko maanti ho toh yeh ittefaq ho nahi sakta ... aur agar yeh ittefaq hai toh main yeh chahunga ke aaisa khubsoorat ittefaq mere saath roz ho
Ek baap ki zindagi mein khushiyon ka mauka sirf do baar aata hai ... pehli baar toh tab jab uska beta zindagi ke farsh par pehli bar bina kisi sahare ke kadam rakhta hai ... aur doosra tab jab wahi beta bada hokar apni shaadi shudha zindagi mein apna pehla kadam rakhta hai
Desh ko seva nahi ... prime time entertainment chahiye
Bade bade sheharon ki choti choti buses mein aaisa hota rehta hai
Zindagi jhaant hai ... phir bhi thaant hai
Bina kapde ke kaali gori sab ek jaisi dikhti hai
Tera bachcha jug jug jiye ... bada hoke tera khoon piye
Dard aur mard mein da aur ma ka farak hota hai ... da aur ma bole toh, Dum
Sahi time pe sahi mukka ... kuch log isse good luck bolte hai ... main isse shanpatti bolta hai
Jab naak se khoon moot ki tarah beh raha hota hai ... phatke haath mein aa jaati hai
Tune aankh se andha banaya ... par dil se dekhna sikhaya
Gussa aadmi se bahut kuch karwata hai ... aur yeh joh love hai na love ... yeh sirf marwata hai
Joh dimag se khiskela rehta hai na ... woh heech life mein upar jaata hai
Kamra ho, naukri ho ... toh heech dilwale dulhania le jayenge ... nahi toh hum aapke hain koun?
Log apna paap dhone ke liye Haridwar jaate hai ... main toh khud Ganga ko tere pass leke aa raha hoon
Lene ke baad dena toh padta hi hai bachchu
Main insaan par bharosa nahi karta ... technology mere liye kaafi hai
Maut aankhon ke samne hoti hai na ... toh achchon achchon ki Gateway of India ho jaati hai
Teri dono life line khatam ho chuki hai ... ab teesri galati ki toh episode khatam
Money can buy you happiness ... if you know where to shop
Log God fearing hote hai ... main God loving hoon ... mera God hai paisa
Love and music have no language
Pata nahi duniya ke kis kone se aayi thi ... aur meri duniya ban gayi thi
Mera muhafiz hai khuda, toh phir hai kaun joh mujhko utha sake ... teri kya aukaad hai, joh jahaan se mujhe mitta sake
Hussain ka ek ghoonsa ... aur teri khopdi ke bawees tukde
Main apne haath do hi waqt uthata hoon ... dua ke liye, joh mera imaan hai ... aur zulm ke khilaaf ladne ke liye, joh mera ishq hai
Neetu Singh jab koi mission par nikalti hai toh kafan apne saath lekar chalti hai ... ya toh dushman ko pehna deti hai ... ya khud pehenkar desh par shaheed ho jaati hai
Jab main dushman ke saath haath milata hoon ... toh uske haath ki jeevan rekhayein mitt jaati hai
Har insaan pehle Hindustani hai ... phir baad mein Musalman ya Hindu
Shock laga tha ... mixer mein do baar, toaster mein teen baar ... aur jab angoothi pehnahi thi tab sau baar
Har woh prem kahani mahaan hoti hai ... jis mein do premiyon ke beech sachcha pyar ho
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
