dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Sorry toh maine apne baap tak ko nahi bola jab meri galati thi ... ab toh na meri galati hai ... aur na aap mere baap ho
Jab waqt badal jaata hai ... vaar kamzor se kamzor ka chal jaata hai
Kitne kamzarf hai yeh gubbare, chand saanson mein phool jaate hai ... bas zara si bulandiyan paakar, apni aukaat bhool jaate hai
Main paise ke liye kuch bhi kar sakta hoon ... toh sooch main apne pyar ke liye kya kya karoonga
Gusse se zyada goos mein power hai
Jiski nazar kamzor hoti hai ... uska zor kam hota hai
Aadmi apne kaam se pehchana jaata hai ... naam se nahi
Galat tareeke se sahi kaam mujhe karna aata hai
Mumbai ki gardan marodhte hi ... poore India ki cheenkh nikalegi
Tumhari duniya mein roshni hai, zindagi hai, umeedein hai ... meri duniya mein sirf andhera hai aur kuch nahi
Sabhi marte hai ... lekin sawal yeh hai ki aadmi jeeta kaise hai
Burai se mooh modh lena aasaan hai ... peecha chhudana nahi
Aadmi ki achchai dab sakti hai ... marr nahi sakti
Agar do din ki zindagi bhi aaisi ho jaye ... toh teesre din marna manzoor hai
Khuda itni zehmat kar ... ke bandhe thodi rehmat kar
Main tujhe marra hua dekh sakta hoon ... lekin kabhi shak se nahi dekh sakta
Bahut dino baad Bambai ne mujhe apni baahon mein bulaya hai ... ab dekhna yeh hai ke woh gale lagati hai ... yah phir gala kaatti hai
Rishtey jazbaato se bante hai ... zabardasti se nahi
Joh tumhare raaste pe chalta hai ... wohi tumhara raasta kaatne ki koshish karta hai
Jaan se zyada yahan zubaan ki keemat hoti hai
Keemat thik lagi ho ... toh sabse pehle sapne hi bikte hai
Baaziyan palat jaati hai jab insaan palatte hai
Duniya mein do tarah ke mard hote hai ... ek joh kabhi mauke par saath nahi dete ... aur ek joh mauka dhoondte rehte hai
Tumne mujhe bahut kuch diya aur mera sab kuch cheen liya ... khushiya di lekin baatne waale nahi, tofhe diye lekin taarif karne waale nahi ... aasman par bhithakar meri zameen cheen li tumne
Apno se jeetkar bhi haar hi milti hai
Sooch ke bolonga toh baat bura maan jayegi
Tevar na dikhao toh log aankhen dikhane lagte hai
Sitaro ke tootne se aasman ko koi farak nahi padta
Yeh dhyan rakhna ... jiske kadmo mein duniya rakhna chahte ho ... kahin aaisa na ho ki uski duniya hi alag ho
Jinki kismat chamakni hoti hai ... wohi meri nazar mein aa jaate hai
Dimaag jhoot par chal sakta hai ... par dil nahi
Galati karne waalo ke liye Shoaib sirf ek hi raasta chhodta hai ... upar ka
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
