dialogues for Tag: Action
Tag: Action
Main Hind ki sherni hoon ... mera ek panja uth gaya toh tera ye haath tere dhad se alag ho jayega
Isse toh aaise zakhm do joh kabhi na bhare ... aur yeh zindagi bhar apni hi laash ko apne kandhon par uthaye tadpata rahe
Aainda kisi gareeb par haath uthane ki koshish ki ... toh tumhare haathon ko bhik mangne ke kabil bhi nahi chhodunga
Joh hamara taraf aankh uthayega, hum uska aankh phod dalega ... joh saala awaaz uthayega, hum uska zubaan kaat dalega ... aur joh sar uthayega, uska sar todh dega
Mukka-laat ke baad joh mulaqat hoti hai ... badi pakki hoti hai
Mere kanne chakku hai!
Main tujhe aaisi maut maroonga ... ki marne ke baad tera bejaan jism mere naam se kaanpega
Agar Lawrence aur Peter ko gussa aa gaya ... toh tumhara zindagi maut se baatein karne lagega
Tujhse ghayal hone mein toh bahut mazaa aayega
Saanp ka zeher sirf uske daanton mein hi nahi ... balke uski phook mein bhi hota hai
Yeh maa ki gaud nahin hai ... maut ki gaud hai
Yeh woh danda hai joh badan pe pade toh chamdi phatti nahi hai ... dard haddiyon tak ghus jaata hai
Iski laash ke itne tukde banenge ... ki rone waala yeh bhi samajh nahi payega ki kis tukde ko pakadkar roye
Aatma ek magar naam do, Kishen Kanhaiya ... ab dekhna main kaise bajata hoon inka band bhaiya
Mazloomon ka saathi, bebason ka bhai ... aur ablaon par zulm karne waalon ke liye kasai hoon main
Main tera khoon karoonga aur tera ghost apni gali ke kutton ko khilaonga
Joh zindagi mujhse takrati hai ... woh sisak-sisakar dum todhti hai
Woh aayega, zaroor aayega ... aur apne saath ek aaisa toofan layega ... jisse tumhari yeh maut ki factory, reth ke gharonde ki tarah deh jayegi
Main tera woh hashar karoonga ... ke tujhe apne pehda hone par afsoos hoga
Aane waale chaubis ghanto mein tumhare chaubis tukde karke ... har tukde ka alag alag antim sanskar karoonga
Woh maar maroonga tujhe ... joh shaitan ne apni sauteli aulaad ko bhi nahi maari hogi
Yeh duniya bahut badi aur lambi hai ... magar Dhanraj ke haath usse kahin zyada bade aur lambe hai
Yeh che foot ka body ludkane ke liye char inch ka goli kam pad gaya malum?
Apna ussool kehta hai ... har galati ki saza maut hai ... sirf maut!
Agar aaisa ho gaya toh apna khopdi phir jayega ... aur tumhara mundi kat jayega
Maut ke baad maut ... tumhe kai mauten maroonga
Agar kisi ne tilbhar bhi hilne ki koshish ki ... toh sabke sar jism se alag kar doonga
Yeh gaon nahi shehar hai ... yahan darindon ko sher ki tarah bahaduri se nahi, shikari ki tarah jaal dalkar maara jata hai
Intezaar kar aur dekh, maut jab dheere dheere aati hai ... toh kitni khaufnak hoti hai
Paap se dharti phati, adharm se aasmaan, atyachaar se kaanpi insaaniyat, raj kar rahe haivaan ... jinki hogi taqat apoorv, jinka hoga nishana abhed, joh karenge inka sarvanaash ... woh kehlayenge Tridev!
Jis tarah tumne doosron ka khoon bahaya hai ... waise hi ek din tumhare apno ka khoon bahega ... kyun ki woh saari goliyaan joh tumne doosron ke seeno par chalayi hai ... koi ek din tumhare apno ke seene par chalayega
Tum sabne milkar apni maa ka dhoodh utna nahi peeya hoga ... jitna is kameez par mera khoon baha hai ... ab tumhare khoon mein maa ka doodh raha nahi ... is liye tumhe chatti ka doodh yaad dilane chala aaya hoon
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
