Page 320 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

320 (of 459 pages) | 32 (of 14664 items)
1 319 320 321 459
Tan-e-tanha zindagi se bezaar, ek ladki se kiya pyar ... usse mila na iqraar, na bani woh dildar ... bas yeh cigarette hai wafaadar, woh bhi hai baldaar
Main unse aaisa bayanak badla loonga ... ki doosri bar janam lete hue unki maa ki kook tadhtada jayegi ... unki zindagi ka ek ek din barbaadi ka din bana doonga
Hisaab kitaab ke tarazu ke dono palhalde agar barabar nahi hue na ... toh main apna ek account kholta hoon ... aur uska naam hai dhulai account
Kabhi kabhi joh aankhon se dekha jaata hai woh sach nahi hota ... aur joh kaano se suna jaata hai woh bhi sach nahi hota ... sach woh hota hai joh tehkikaat aur jaanch partal karke jaana jaata hai
Tum jaise logon ne is desh ki sampatti ka sarvanash kiya hai ... is desh ki khushali ko barbaad kiya hai ... tum is desh ke gaddar ho
Tum nahi ho toh khum aur sagar-o-meena kya hai ... rasam-e-maikhana nibha lete hai peena kya hai ... hum barasti hui boondon mein jale hai barso ... humse pooche koi savan ka mahina kya hai
Dimaag mein kitaaben bharne se jeben thodhi bharti hai
Zarooraton ne par kaat diye hai ... roti paon ki zanjeer ban gayi hai
Fail hona aur padhai na karna ... hamare khandaan ki parampara hai
Insaan ki umar utni hi hoti hai jitni woh feel karta hai
Mohabbat ka naam aaj bhi mohabbat hai ... yeh na kabhi badli hai aur na kabhi badlegi
Ek pal mein beta bana liya ... aur doosre hi pal mein paraya kar diya
Koi bhi ullu ka patha sirf ek angoothi pehanakar tumko mujhse nahi cheen sakta ... tum meri ho, sirf meri
Sapne dekho, zaroor dekho ... bus unke poore hone ki shart mat rakho
Jab ladki jawan ho jaati hai na ... toh maa uski maa nahi rehti ... sehali ban jaati hai
Joh shaadi waale ghar mein seva karta hai ... usko bahut sundar dulhan milti hai
Main ek Hindustani hoon ... aur main jaanta hoon ki ek Hindustani ladki ki izzat kya hoti hai
Ja Simran ... ja jeele apni zindagi ... ja beta ja
Toh kya hua agar maine jhoot sirf tumhe paane ke liye kaha tha ... toh kya hua agar tumhare chehre ke sivah mujhe koi aur chehra dikhai nahi deta ... toh kya hua agar tumhare naam ke sivah mujhe koi aur naam yaad nahi rehta ... toh kya hua agar yeh awara tumhe deewano ki tarah pyar karta hai ... toh kya hua ... pyar sab kuch toh nahi hota na
Agar tum galat raaste par chaloge ... toh ho sakta hai shuruvat mein tumhe bahut kamyabi mile, bahut khushiya mile ... magar anth mein tumhari haar hogi ... aur agar sahi raaste par chaloge ... toh bhale hi shuruvat mein tumhe kadam kadam par thokarein mile, musibaton ka samna karna pade, pareshani ho ... magar anth mein hamesha jeet hogi
Agar yeh tujhe pyar karti hai toh yeh palat ke dekhegi ... palat ... palat!
Tumhari jaisi ladki ke saath, mere jaise ladke ka hona ... bahut zaroori hai
Bade bade deshon mein aisi choti choti baatein hoti rehti hai
Yahan par garmi bahut zyada hai ... main apni AC BC DC car mein jaakar beheta hoon
Bungle mein rahenge ... gadi mein ghumenge ... noton pe sooenge
Tu coolie hai coolie hai coolie hai coolie hai!
Duniya mera ghar hai, bus stand mera adda hai, jab mann kare aa jana, Raju mera naam hai ... aur pyar se log mujhe bulate hain ... coolie no. 1
Aa gaya saala jallad ka dhooth ... apni maa ka poot ... chalta hai kaise, jaise malai mein dhoodh
Waqt ki band muthi mein kya chupa hai, yeh koi nahi jaanta ... kaunsa bandan kab mukti ban jaye aur kaunsi mukti kab bandan ... yeh tum nahi keh sakte
Jailon ko jail ki tarah nahi, balki aspatal ki tarah treat karna chahiye ... aur mujrimon ko mujrimon ki tarah nahi, bimaaron ki tarah treat karna chahiye
Har insaan mujrim nahi hota ... lekin har mujrim insaan zaroor hota hai
Ishq karna toh lagta hai jaise maut se bhi badi ek saza hai ... kya kisi se shikayat kare hum, jab apni taqdeer hi bewafa hai
1 319 320 321 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..