Dialogues from Movies for Parties
Jis tarah se bomb mein aag lagte hi saat second ke andar barood phatke bahar nikal jaata hai ... ussi tarah se Shambu saat dino ke andar jail ki char deewari se bahar nikal jayega
Kyun ki mera colour black hai, kaleja black hai aur uske andar ka khoon bhi black hai ... is liye main tujhe blackmail kar raha hoon
Tum aur hum kachre ke dher se uthne waali woh badbu hai ... jisko zamane ki naak kabhi seh nahi sakti ... aur kachra chahe kitna bhi saaf ho jaye usse badbu hi uthti hai
Doosron ko maarkar jeena koi gaurav ki baat nahi ... magar khud ko maarkar kisi aur ke liye jeena hi jeena hai
Hazar bura aadmi burai ka rasta akhtyar kare toh itna khatarnak nahi ... lekin jab ek achcha aadmi burai ka rasta akhtyar karta hai na ... toh burai ka seena bhi kaanp uthta hai
Marne waala chahe apne aap ko lohe ki deewaron mein bhi band karle ... bach nahi sakta ... aur jeene waala chahe lakhon goliyon ki bauchaar se guzar gaye ... mar nahi sakta
Kanoon ek aaisa hathyar hai joh sau achaiyon ko bhool jaata hai ... magar ek galati ho jaye toh gardan kaat deta hai
Humse wafaadar rahoge toh maut tumse door rahegi
Tere paapon ki tujhe kitni sazaa milni chahiye uski hadh toh main nahi janta ... lekin aaj main tujhe itni sazaa doonga, itni sazaa doonga ki aane wali sadiyan bhi yaad rakhengi
Jab tak subah se shaam tak, sattar aadmiyon ko maar kar kha na loon ... dhakaar hi nahi aati
Hum is desh ke bete hai, desh pe jaan luta denge ... gaddar mitayenge kya humko, hum gaddaron ko mita denge
Jung se dharti ka seena toh laal hota hi hai ... yeh desh ki atma ko bhi ghayal kar deti hai
Teri aankhon mein dahekte angaaron ki saugand maa ... main tera har vachan poora karke rahoonga
Ab hum uske saath khelenge ... haivaniyat ka khel khelenge
Woh aayega aur zaroor aayega ... aur apne saath lekar aayega apne kahar ka toofan ... apne khroad ki aandhi
Itne saare grahak ... itne dino ke baad
Uss vaishi darinde ne meri maa ke haath toh kaat diye hai ... lekin meri maa ka aashirwad nahi kaat sakta woh
Hamare desh ki mitti apne beto ko sirf ek hi baat sikhati hai ... maa ki puja, maa ki seva, maa ki raksha
Abhi tak bahut se police afsaron ki ragon mein ... angrezon ki pilai hui sharaab ki booh baki hai
Taaliyan bajane se kaam nahi hoga ... kaam karne se kaam hoga
Jis din yeh khel shuru hoga na ... us din gend tum hoge ... aur chakke main maroonga
Markar bhi ho zaban pe Hindustan hamara, markar bhi haathon mein ho Hindustan ka nara ... agar aaisi maut mile humko, toh marna roz gavaran ... phir tu ab maare yah kal maare, hai marna humko pyara
Marr jayenge, mitt jayenge par bhai ka sar na katenge ... desh hai humko pyara apna, hum desh mein maut na batenge
Mere aadmi daulat khaate hai, daulat peete hai, daulat jeete hai, daulat soote hai
Naag hoon main naag ... kaala naag
Aurat zindagi leti nahi ... zindagi deti hai
Inteqam ka josh farz aur sachai ka sar kabhi nahi jhuka sakta
Lagta hai tum aasman se tapki ho ... upar se neeche aakar zameen par chamki ho ... uparwaale ne kya super kaam kiya hai ... tujhe fursat mein bana diya hai
Pati patni ki narazgi garmiyon ki barsaat ki tarah hoti hai ... joh hamesha nahi rehti
Bijnor mein gunda pakda gaya ... hairan hoon is daur mein gunda pakda gaya
Pajame ne kaha dhoti se ... bane hum dono ek dhaage se ... farak agar hai hum mein toh sirf itna ... tu khulti peeche se, main aage se
Jab tak chance rahega baki ... main nahi bandwaonga rakhi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
