Dialogues from Movies for Parties
Gunaah chupane se gunehgaar nahi chup sakta
Hausle se har kaam mumkin hai ... hausle se insaan apni taqdeer jaise chahe waisi bana sakta hai
Gunaah ke samundar ki koi bhi machli ... tumhare jeevan ke pavitra nadi mein kabhi nahi aayegi
Adalat toh sirf saboot par faisla karti hai
Police ki vardi aur khoon ki garmi aadmi ko bada khuddar bana deti hai
Rana karz aur farz dono ko ... ek hi nazar se nibhata hai
Hamare kaan na nahin sun sakte ... agar na sunle ... toh hamare kaanon se angaray nikalne lagte hain
Hamare phone ke baad interview nahin hota ... letter of appointment seedha milta hai
Hum uss sipahi ki tarah hai ... jiske haath mein sirf mayan hai ... talwar nahi
Baaton ki talwar se gardan nahin katti
Hum mein amiron ki taqat ka nahin ... garibon ki kamzori ka ehsaas hai
Is duniya ke tum pehle aur aakhri badnaseeb kamine hoge ... jiski na toh arthi uthegi aur na kisi kandhe ka sahara ... seedhi chitta jalegi
Suna hai Bambai shehar mein insaan aur haivaan ... dono ko chupne ki jagah milti hai
Hamare dhande mein aasunyon ke saath koi rishta nahin hota
Seva, adarsh aur desh bhakti ki bhavna agar kitaabon mein hi bandh rahi ... toh phir hamare desh ki hasti bhi duniya ke kagazi naksho mein reh jayegi
Dushmani aur dosti agar ghaadi na ho ... toh us mein koi rang nahin aata
Yeh toh sher ki guffa hai ... yahan agar tumne karvat bhi li toh samjho maut ko bulava diya
Bazaar ke kisi sadak chaap darzi ko bulakar apne kafan ka maap de do
Badle ki aag woh pyas hai joh kisi doosre ke peene se nahi bhujti ... aur toofan ko kisi aur sahare ki zaroorat nahi padhti
Telephone uthakar khamosh rehna mardo ka kaam nahi hai
Rana ki maut itni choti nahi ... joh tumhari mutthi mein ho
Duniya mein mard lakh imaandar hoga toh sadak pe padhe hue pachaas yah sau rupaiy ki note chhod dega ... lekin ek akeli, jawaan, anaath ladki ko koi nahi chhodta
Hum tumhe aisi maut maarenge ... tumhari aane waali nasalon ki neend bhi uss maut ke khauf se udh jayegi
Dada toh is duniya mein sirf do hain ... ek upar waala aur doosre hum
Khoon jab bolta hai toh maut ka tandav hota hai
Bootiyan nochne waala geedar ... gala phadne se sher nahin ban jaata
Zindagi mein agar kisi ne mere liye dua ki ho ... toh woh bhi tujhe lag jaye
Hum kutton se baat nahin karte!
Aaj ke baad humri bahen ko aaisa ungli se bhi chua na ... toh saala maar maarke, maar maarke tumra pura hadi pasli hum todh doonga ... aur aaisa todhonga saala ki duniya ka kauno haspatal mein tumra ilaaj nahi ho sakega
Kuch baatein patthar ke lakeer se zyada gehri hoti hai ... patthar toot jaata hai lekin lakeerein nahi mitne paati
Patni ka gawaar hona pati ke liye bhagwan ki dein hoti hai
Main pehle sirf kal hi ki soochta tha ... aur ab bahut door ki soochne laga hoon
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
