Dialogues from Movies for Parties
Bina maqsad fight nahi karna ... aur agar maqsad mil jaye toh peeche nahi hatna
Agar main chor hoon toh mujhse chori karane waale tum ho ... aur agar main mujrim hoon toh mujhse jurm karane waale bhi tum ho
Agar zindagi mein bada banna hai toh ek baat yaad rakho dost ... apni taqdeer ke vidhaata khud bano
Tum mujhe naukar hone se kya retire karoge ... main khud tumhe malik hone se retire karta hoon
Log toh budhe hokar naukri se retire hote hain ... lekin aap toh mujhe rishtey se retire kar rahen hain
Kagazaat par dastakhat main hamesha apne kalam se karta hoon
Aap badhe nahin hue hain ... amir hue hain, sirf amir ... aapki tijori toh badhi ho gayi hai lekin aapka dil bahut hi chota ho gaya hai
Bada aadmi agar banna ho ... toh choti harkatein mat karna
Kutte ke aage haddi aur gareeb ke aage paisa ... jab daal diya jaata hai toh woh dumm hilane lagta hai
Shaastra sirf padhne aur sunane ke liye reh gaye hai ... amal ke liye jis dharam aur karam ki zaroorat hai ... usse insaan khud apne haathon se banata hai
Main ki main ko chhod de ... main na kisi ki hove ... joh marzi bhagwan ki ... woh tere sang sajoye
Maut ka ek waqt hota hai ... na woh pal bar pehle aa sakti hai, na pal bar baad
Yeh goli teri maut bhi ho sakti thi ... lekin hum tujhe itni aasaan maut dekar apne inteqam ko halka nahi karna chahte
Hum aankh kiye bandh tasavur mein pade ho ... aaise mein koi cham se aa jaye toh kya ho?
Jawaani unhi ke liye hai joh jawaan hai
Jin jin cheezon se zindagi, zindagi lagti hai ... kambhakt doctor unhi ko cheen lete hai
Zindagi bhi kitni dilchasp hai ... woh har naye anubhav ke saath thokar lagati hai ... ek naye sabak ke liye
Dil tha tumhari yaad mein tapish-e-gham se bekarar ... aankhen tumhari shakal ko dhoond rahi thi baar baar
Is gali mein aaj tak koi policewala nahi aaya ... tum aa gaye ho ... toh vapas nahi jaoge
Mujhe toh sirf apne aap se hi darr lagta hai
Aaj se main apna kanoon khud banaonga
Sharaab khareedne waale rupaiye toh mere paas bahut hai ... haan dawa khareedne waale rupaiye mere paas nahi hai
Main woh badnaseeb beta hoon ... ki jis dawa ko cho loonga, woh meri maa ke liye zehar ban jayegi
Joh log sachchai ki tarafdari ki kasam khate hain ... zindagi unke bade kathin imtihaan leti hai
Hamare desh mein ... kaam dhoondna bhi ek kaam hai
Mere baap ne do shaadiyan ki hai, do ... ek meri maa ke saath ... aur ek apni naukri ke saath
Pani mein dubohkar, shareer ko bhighokar ... sabun laga lagakar nahana padega
Agar maa ki mamta ho sakti hai ... toh kya baap ki bapta nahi ho sakti
Jahan dil ki baat hai wahan taqat ki nahi ... nazaqat ki zaroorat hai
Duniya ko agar seedha rakhna ho ... toh ulta haath istamaal karna chahiye
Lagta hai sode ki bottal ke tarah josh khatam ho gaya hai
Daru peene se liver kharab ho jaata hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
