Dialogues from Movies for Parties
Nastik ko aastik banana uparwaale ka bayen haath ka khel hai
Duniya mein sabse buri aag badle ki aag hoti hai ... chahe woh kisi insaan mein ho ya janwar mein
Yeh aankhen kisi aur ko dikhana ... varna tumhare is chaupte se yeh do button nikalkar apne kurte mein fit kar doonga
Aankhon hi aankhon mein ishaare ho gaye ... hum tumhare aur tum hamare ho gaye
Pati patni ka rishta faulad se zyada mazboot hota hai ... joh lakhon hathodon ke zor se bhi toda nahi ja sakta ... aur kabhi kabhi ek phool se zyada nazuk hota hai ... joh saans ki garmi se bhi ulaz-julaz jaye
Dil ke kuch taar aaise hote hai jinse woh khabaren bhi mil jaati hai ... joh bheji nahi jaati
Nagin dushman ko maarne ke liye kabhi kabhi insaan ka roop dharan kar leti hai ... lekin tumhare jaisa insaan ki shakal mein naag aaj tak pehda nahi hua
Shaadi ek yagya hota hai ... jis mein aadmi ko sukh paane ke liye apne ahankar ki aahuti deni padti hai
Bhagyawan wohi hoti hai joh do kandhon pe savaar apne babul ke ghar se jaati hai ... aur char kandhon pe savaar apne dulha ke ghar se nikalti hai
Maika ladki ke liye ek sarai jaisa hota hai ... jahan aadmi raat bhar aaram toh kar sakta hai ... lekin zindagi bhar ka thikana nahi kar sakta
Joh doosron ka adhikar cheenane mein kamyab nahi hote ... woh kisi na kisi tarah unki zindagi mein zehar bhar dete hai
Jeevan mein mahan wohi hota hai ... joh doosron ki muskaan ke liye apne aasoon pee le
Mere sapne ka sambandh aankhon se nahi hai, dil se hai ... jise mehsoos kiya ja sakta hai, dekha nahi ja sakta
Sangeet cheez hi aaisi hai ... saaz ho ya awaaz, kaano mein padte hi dil ke taar jhun-jhuna uthte hai ... aur chanchal mann ko shanti mil jaati hai
Baat pistol ki goli hoti hai ... joh ek baar nikal jaye doobara vapas nahi aati
Aadmi chahe kitna bhi sangdil ho ... lekin uske andar ka insaan ekdum mar nahi jaata ... purani yaadein uska peecha nahi chhodti
Khopadiya kaat kar football nahi khela toh mera naam Kalicharan nahi
In sab logon ko mitti ka tel dedo ... varna tumhe issi tel mein jalakar mitti kar doonga main
Jab sher aadamkhor ho jaata hai ... toh sarkar usse apni goli ka nishana banakar kutte ki maut maar deti hai
Mard ke bachche aurat ke daaman se nahi ... sher ke panjo se khela karte hai
Is duniya mein ek aam aadmi achcha nagrik nahi ban sakta hai ... samjhe
Sar pe kafan bandhne waale kabhi maut se nahi darra karte
Aaj nag panchami hai kya? ... phir yeh saanp ko doodh kyun pila rahe ho?
Sher dildar hua karte hai aur kutte wafaadar ... na tum sher nikle aur na kutte
Aashirwad toh bade aadmi dete hai ... hum toh sirf rai de sakte hai
Jhoot aksar bahut aasani se gaale se neeche utar jaata hai ... sach ko nighalna bahut kathin hai
Sara shehar mujhe lion ke naam se jaanta hai
Aaj ke zamaane mein toh baimaani hi ek aaisa dhanda reh gaya hai ... joh poori imaandari ke saath kiya jaata hai
Aap sooch kuch aur rahen hain ... pooch kuch aur rahen hain
Meri baat ka meri humnafas, tu jawab de ki na de mujhe ... teri ek chup mein joh hai chupi, woh hazaar baaton ki baat hai
Main zara romantic kisam ka aadmi hoon ... shaadi ke baad ishq karna toh chhod diya hai ... is liye biwi se romance karke kaam chala leta hoon
Zindagi chand sawaal aur kuch jawaab hi toh bankar reh jaati hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
