Page 430 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

430 (of 459 pages) | 32 (of 14664 items)
1 429 430 431 459
Dilon mein agar sachchai na hoti ... toh mohabbat mein deewangi nahi hoti
Ishq ki duniya hoti hai mehboob ki ek nazar ... aur woh nazar zamane bhar ke husn se zyada haseen hoti hai
Sach ko chupana ek bahut bada jurm hai ... duniya ka koi logic, insaan ka koi jazba is jurm ko justify nahi karta
Insaan hona hi sabse oonchi zaat hai, sabse bada dharam, sabse nek mazhab
Tu aaisa khatarnak keeda hai joh aurat ki kismat khata hai ... tumhe maarna toh gunah nahi sawab hoga
Khili thi chaandni, charon taraf pani barasta tha ... main jab pehda hua, toh meri maa roti thi aur baap hasta tha
Rang aur roop toh bhagwan deta hai ... lekin uski hifazat karna apne haat mein hai
Katega bhunega toh alu ... isse main khaon ya bhalu
Raja ki puja sirf uske desh mein hoti hai ... aur vidhvan ki puja puri duniya mein hoti hai
Khushi ke gaane toh bilkul phuljadiyon ki tarah hai ... jalte hai aur bhuj jaate hai ... lekin udasi agarbatti ki tarah jalti hai der tak ... aur bhujne ke baad bhi mehakti rehti hai
Jisme insaan ki bhalai ho woh kaam kabhi bura nahin hota
Log zindagi ka sabse chota, sabse keemti labz bhool gaye hain ... pyar
Is duniya mein jab tak bhalai rupai aur paison se na tauli jaye ... woh bhalai nahin kehlati
It is so simple to be happy ... but it is so difficult to be simple
Kisi badi khushi ke intezaar mein ... hum yeh chote chote khushiyon ke mauke kho dete hain
Tum ek gehre andhere kuye ki taraf bhaag rahi ho ... pyaas nahi bhujegi, doob jaogi
Ek taraf patti doosri taraf party
Tumhara hriday kitna achcha hai, woh toh main jaanta tha ... lekin kitna vishal hai yeh aaj malum hua ... jitna tumhe milta hoon, mukt ho jaata hoon
Sansar ki har gandagi ko apne haathon se chukar ... tum usse pavitra bana deti ho
Pati ka ghar stri ka sansar hota hai
by: Unknown
from: Amar Prem (1972)
code:
Meri shaadi mere jeevan ka sabse bada abhishaap hai
Bahut dhundne ka baad malum hua ki jeevan mein mithaas sirf do hi jagah hai ... ek mithaai waale ke yahan, doosri tumhari awaaz
Mujhe mithaai khane ka nahi ... sirf dekhne ka shaunk hai
Zindagi ka koi bhi raasta ekdum seedha toh nahi hota hai ... kahin na kahin modh toh zaroor aata hai
Aadmi jitna sharif hota hai ... utna hi shaitan bhi ban sakta hai
Tumhare is gale ka dard kisi ke bhi mann ka dard mitta sakta hai
Mere ghar taash ka ghar hai ... jitni baar bhi banane ki koshish karta hoon ... utni baar toot jaata hai
Pushpa, mujhse yeh aasoon nahin dekhe jaate ... I hate tears
Zindagi ke kuch chakkar aaise hote hai jinka mazaa sirf wohi le sakta hai ... joh zindagi ka share jaan-buchkar ghaate mein khareede
Chup nahi sakti chupane se mohabbat ki nazar ... chahane waale bhi rakhte hai qayamat ki nazar
Lajja hi stri ke mann ka darpan hota hai
Jee haan baza huzoor kiye ja raha hoon main ... aur maska laga lagake jeeye ja raha hoon main
by: Unknown
from: Sharmilee (1971)
code:
1 429 430 431 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..