Dialogues from Movies for Parties
Purani haddiyan badi mazboot hoti hai
Khoob phulegi phalegi beti Harparsad ki ... baap ne toh karke shaadi zindagi barbaad ki
Mohabbat ek tam-tam hai joh daudai nahi jaati ... bhadak uthti hai apne aap hi, bhadkai nahi jaati
Zindagi bhar nahi bhoolegi woh barsaat ki raat ... maine jab pakda tha kambakht teri saas ka haath
Saas kisi ki bhi ho ... sab ek jaisi hoti hai
Agar aadmi ko galati karne ka adhikar hai ... toh galati karke pachtane ka haq bhi hai
Kavita toh atma ki khuraakh hoti hai ... achcha sher sunne ya kehne se dil aur dimaag saaf ho jaate hai
Meri chaati par aakar toh saanp bhi rassi ban jaata hai
Insaan jab aadmiyon se mayoos ho jaata hai ... toh phir kutte aur billiyon se pyar karne lagta hai
Maya Devi toh meri bachpan ki saheli hai ... hum ek doosre ke naakhun tak pehchante hai
Meri zabaan se ughla hua zehar bhi amrut ban jaata hai
Hai Ram kya waqt aa gaya hai ... maa ki shiksha ka amrut bhi beti ko zehar lag raha hai
Har saas yeh bhool jaati hai ki woh bhi kabhi bahu thi ... aur har bahu yeh bhool jaati hai ki usse bhi ek din kisi ki saas banna hai
Jab paschatap nahi ... toh prayaschit bhi nahi
Jab yahan se jao, toh itne kalank saath lekar mat jaana ... jinhe Ganga maiya bhi na dho sakey
Jahan life partners badal sakte hain ... toh naam kyun nahi?
Abhi shareer mein garmi hai beta ... jab thanda ho jaye toh jhauk dena aag mein
Shareer jitna thanda hoga, jalne mein utna hi anand aayega
Sharam yahan ka sabse anmol gehna hai
Tum usse apna samajhte ho, joh madad leta hai ... main usse apna kehta hoon, joh madad deta hai
Beti ke aasoon dekh kar bhi yadi pita ka dil na roye ... toh woh dil nahin patthar hai
Desh pe marne waala, kabhi nahin marta
Agar tumhare maathey ki bindiya aur maang ka sindoor, suhaag ki nishani nahi kalank hai ... toh mitta do isse
Yahan maa baap ke liye aulad sab kuch hai ... aur aulad ke liye maa baap?
Apne yahan ki mitti ki khushboo hai na ... woh toh ajnabi logo ki saanson mein bhi sanskar bhar deti hai
Saari ka kaam khoobsurati ko chupana nahi ... ubhaarna hai
Dil bada hona badi khatarnak baat hai
Kabhi kabhi puraane dino ki yaad ... sehat ke liye bahut achchi hoti hai
Insaan is duniya mein chaar din ki zindagi guzaarne aata hai ... lekin chaalis din ka gham usse gehre rakhta hai
Duniya mein ek cheez sher-e-babbar se bhi zyada khatarnak aur darawani hai ... aur woh hai gareebi aur bhookh
Aadmi mein dil hota hai ... dil mein aadmi
Yeh husn, yeh baankpan, us par yeh awaaz ... kami hai toh bas ek nigah-e-karam ki
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
