Dialogues from Movies for Parties
Haar aur jeet mein ek hi pharak hota hai ... bhook
Paisa uska joh dhanda jaanta ho ... aur main hoon dhando no gando chokro
Sapno ki ek khasiyat hai ... sapne kabhi marne nahi dete
Apna dimaag, ghar ki ghanti aur phone on rakhna hamesha ... nahi toh hamesha ke liye off kar doonga tere ko
Hyderabadi sirf biryani ke liye nahi jaane jaate ... qurbani ke liye bhi jaane jaate hai
Itna todhunga na, ki akad nazakat mein badal jayegi
Paisa kam ho toh pet nahi bharta ... aur zyada ho toh saala dil nahi bharta
Is ladai mein uska kuch nahi bhigdega ... aur tumhara kuch bachega nahi
Jab jung dil aur dimaag ki ho na ... toh hamesha dil ki sunte hai ... kyun ki dimaag kya hota dahi ... aur dil kya hota sahi
Joh yeh tera torture hai ... woh mera warm-up hai
Jab cheezein aankhon ke pass ho toh aksar dhundli ho jaati hai ... phir jab door hoti hai toh saaf dikhne lagti hai ... lekin agar bahut door ho jaaye toh bhi dikhna bandh ho jaati hai
Pyar bolne ka bhi naam hai aur chup rehne ka bhi ... par sunai sirf tabhi deta hai jab kaha jaata hai
Pyar jise love kehte hai, aise kahan hota hai ... woh toh Ganga mein pehli dubki ki tarah hai ... shareer pe padte hi atma tarr ho jaati hai
Aaj kal kehte hai ki bhagwan ke baad agar kisi ko sab kuch pata hai ... sab kuch ... toh woh hai Google
Har kahani ka hero Shahrukh Khan nahi hota hai ... kabhi kabhi aapki tarah, meri tarah, ek aam insaan bhi hota hai ... apni kahani ka hero
Kuch cheezein adhoori hone ki wajah se hi toh poori hoti hai
Kala aadmi ko bahut kuch deti hai ... lekin TDS bhi poora kaat leti hai
Jab aapke paas options ho aur aap confuse hai ki aapko karna kya hai ... toss karlo ... kyun ki sikka jab hawa mein hota hai, ek pal aisa aata hai jab aapko ekdum clear ho jaata hai ... ki actually aapko kya chahiye
Surveillance mein listening is a fine art
Mann bairaagi, tann anuragi, kadam kadam dushwari hai ... jeevan jeena sahal na jaano bahut badi fankari hai ... auron jaise hokar bhi hum ba-izzat hai basti mein ... kuch logon ka seedhapan hai, kuch apni aiyaari hai
Gareeb aadmi ko na ungli nahi karne ka sahab
Kahaniyan khud ko sunao ya kisi aur ko ... maza utna hi aata hai ... dil laga rehta hai
Har kahani kahin na kahin khatam hoti hai ... aur ek nayi kahani ki shuruvat hoti hai
Filmon mein zindagi kitni hi super-hit kyun na dikhe ... real life mein sab kuch ulta-phulta hota hai na
Har chehre par emotions hote hai ... aur unmein basi alag alag kahaniyan
Duniya ki tarah kahani bhi chalti hi rehti hai ... uska kabhi koi perfect the end nahi hota
Number one number two sab bachon ka khel hai ... I'm the only one ... super one
Maut se zinda lautne ka alag hi maza hai
Jab hamara jism sota hai toh hamari rooh jaagti hai
Ab upar wala hai ya nahi yeh toh marne ke baad hi pata chalega ... lekin jeete jee uske farishtey se milna naseeb ho gaya
Pyar kahan dikhta hai ... kahan chhu sakte ho pyar ko ... pyar toh mehsoos karte hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
