dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Ek hi chhat ke neeche ek saath rehne waale alag ho sakte hai ... lekin ek hi ghar mein alag alag rehne waale kabhi ek saath nahi ho sakte
Kuch badnaseeb musafir aaisi bhi hote hai ... jinki manzil toh samne hoti hai lekin rasta hi khatam ho jaata hai
Tawaif ka muqaddar ... kothe se shuru hokar kothe pe hi khatam hota hai
Jisse hum khareed nahi sakte ... usse hum khatam kar dete hai
Agar tujh jaise bhai aur pehda ho jaye ... toh is duniya se Rakhi ka tyohar mitt jayega
Gareeb ka jaan ka keemat bhi utna hi ... jitna paisa waala ki jaan ka keemat hai
Zubaan ki keemat jaan ki keemat se bahut zyada hai
Ghamand toh ek sheesha hai joh toot kar hi rehta hai
Patthar par aasoon girne se, patthar pighalta nahi
Insaanon ka paap ya toh aulad bankar samne aate hai ... ya phir aulad ko bhugatne padte hai
Pyar andha hota hai ... usse koi niyam, koi hadd dikhai nahi deti ... woh kisi bhi sulukh ki parwah kiye baigar apni hadd se guzar jaata hai
Duniya ke dastoor paon ki zanjeer ban sakte hai, maut ki nahi ... zamana zinda laashon ka milan rok sakta hai, aatmaon ke milan ko nahi rok sakta
Joh jeevan de sakta hai ... woh jeevan le nahi sakta
Jis pyar mein tyaag ho, woh tyaag mahaan hota hai ... aur usse bhi mahaan hota hai, tyaag karne waala
Agar garajne se hi barbadi ka toofan uthne lage ... toh barasne ki zaroorat nahi padti
Kaante beejhne waale kaanto par hi chala karte hai ... kaante beejhkar phoolon ki umeed moorkh kiya karte hai
Badal ki taqdeer mein toh sirf garajna aur aasoon bahana likha hota hai
Pita ka hukum manna beti ka farz hai ... lekin patni ko pati se alag rehne ka hukum agar bhagwan bhi de ... toh usse bhi thukra dena patni ka dharam hai
Tu apno ka nahi, tere desh ka hi gaddar nahi ... balki gaddaron ka bhi gaddar hai ... aur tujh jaise gaddar ko zinda rehne ka koi haq nahi hai
Sharaab aur daulat in do cheezon ka nasha aaisa hi hota hai ... ki jisse insaan gir hi jaata hai
Aap aur hum uttar aur dakshin ki tarah do dishayen hai ... joh kabhi nahi mil sakti
Sabse gehra zakhm wohi log de sakte hai ... joh khud gehri chot khaye huye hai
Har positive ka negative hota hai ... roshni ke baad andhera zaroor hota hai
Zulm karne waale aur zulm sehne waale dono ... aakhir mein hamesha ek ho jaate hai
Tum jaise raees pyar karte nahi ... pyar khareedtein hai
Aadmi jisko joh samajhta hai woh woh nahi hota ... aur joh hota hai woh nazar nahi aata ... aur joh nazar aata hai woh usse kuch alag hi hota hai
Aapke aasoon mera dard ban jayenge ... aur aapki takleefien meri pareshaniyan kehlayengi
Jis desh ko hamare buzurgon ne apne pranon ki aahuti dekar azaad karaya ... ussi desh mein in kayaron ki fauj pal rahi hai
Ek aurat apne pati ki gareebi mein khush reh sakti hai ... uske aeb seh sakti hai ... lekin uski kayarta nahi seh sakti
Shaadi ke mandap mein pallu se ghaant baandhane waala pati nahi hota ... balki patni ki zindagi ki guthiyan suljhane waala pati hota hai ... pavitra agni ke gird phere lene waala pati nahi hota ... balki patni ke jeevan ko har aag se bachane waala pati hota hai
Chaddaron par lage hue daag toh saaf kiye ja sakte hai ... lekin dil pe lage hue daag kabhi nahi mitaye ja sakte
Aaj tak tum log baimaani aur zulm ka bazaar garam karte rahe ... magar ab tumhare zulm aur paap ke pyale chalak uthe hai ... ab tumhare ek ek jurm ka hisaab liya jayega
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
