dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Izzat amiron ka shaunk hai
Nazar par bhi nazar rakhni padti hai
Baat agar hadd se badh jaaye ... toh batangar bann jaati hai
Sankat ke samay toh savdhani hi sabse bada dharm hai
Rana ki shatranj ka ghoda a-dai ghar nahin chalta ... seedhe raja ko marta hai
Aasoon bahane se dil toh halka ho jayega lekin gham ka bhoj halka nahi hota
Unke mujhpar itne ehsaan hai ... ki agar main apni chamdi ka joota banakar bhi unhe pehnata ... toh bhi kam hota
Zindagi ek natak hi toh hai, lekin zindagi aur natak mein farak hai ... natak ko jahan chaho, jab chaho badal do lekin ... zindagi ke natak ki dor toh upar waale ke haath mein hai
P.C. Mathur jisse dushmani karta hai ... uski jhadon ko khood kar hamesha ke liye khatam kar deta hai
Gunaah ke samundar ki koi bhi machli ... tumhare jeevan ke pavitra nadi mein kabhi nahi aayegi
Police ki vardi aur khoon ki garmi aadmi ko bada khuddar bana deti hai
Rana karz aur farz dono ko ... ek hi nazar se nibhata hai
Hamare kaan na nahin sun sakte ... agar na sunle ... toh hamare kaanon se angaray nikalne lagte hain
Baaton ki talwar se gardan nahin katti
Hum mein amiron ki taqat ka nahin ... garibon ki kamzori ka ehsaas hai
Is duniya ke tum pehle aur aakhri badnaseeb kamine hoge ... jiski na toh arthi uthegi aur na kisi kandhe ka sahara ... seedhi chitta jalegi
Dushmani aur dosti agar ghaadi na ho ... toh us mein koi rang nahin aata
Bazaar ke kisi sadak chaap darzi ko bulakar apne kafan ka maap de do
Zindagi mein agar kisi ne mere liye dua ki ho ... toh woh bhi tujhe lag jaye
Kuch baatein patthar ke lakeer se zyada gehri hoti hai ... patthar toot jaata hai lekin lakeerein nahi mitne paati
Main pehle sirf kal hi ki soochta tha ... aur ab bahut door ki soochne laga hoon
Beizzati ki chhat ke neeche jeene se behtar hai ... ke insaan bina chhat ke izzat se jiye
Is zameen se kabhi nafrat mat karna ... kyun ki aadmi jab oonchai se ludakta hai ... toh usse neeche is hi zameen par aana padta hai
Aaj humne tarakki ka pehla seedhi par kadam rakh liya hoon ... aur bahut jaldi itna oonchai pe pahunch jaonga ... ke humko dekhne ke liye tumko aakash ka baadal hatana padega
Jis din mujhe thoos saboot mil gaya ... tumhari zindagi ka aakhri panna main likhonga
Ab na woh zalim rahenge na zulm rahega ... na kanoon se khilwar karne waale woh gaddar rahenge ... ab sirf kanoon rahega
Kanoon ka sipahi, kanoon ki raksha ke liye jab kanoon ke dariye se bahar nikalta hai ... toh woh sar pe kafan bandkar nikalta hai
Khoon bahana bahut aasaan hai ... lekin khoon ko bachana bahut mushkil hai
Aurat ke daman par agar ek baar daag lag jaata hai ... toh Ganga ka pavitra jal bhi usse nahi dho sakta
Mujhe gaali do, mujhe maaro, chaho toh mere jism se khaal alag kardo ... lekin mujhe apne rishtey se alag mat karo
Agar aapne aainda hum mein aap kehkar nahi pukara ... toh hum aapko aaisa girra hua shabd kehkar pukarenge ... ki aap zindagi bhar apni hi nazaron se girre rahenge
Log aasman se girkar bhi bach jaate hai ... aur marne waale hawa ke jhaunke se girkar mar jaate hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
