dialogues for Tag:
Tag:
Agar taqdeer mein maut likhi hai toh koi bacha nahi sakta ... agar zindagi likhi hai toh koi mai ka laal maar nahi sakta
Stree ka bhagya muskurata hai toh tum jaisa pati milta hai
Tum jaisi patni pakar apni taqdeer ki aarti utaarne ko dil chahta hai
Jise mile qadardan aaisi sundar ... woh prani hai naseeb ka sikandar
Pyar devtaon ka vardaan hai joh sirf bhagyashaliyon ko milta hai
Main vaishya nahi hoon ... mera naseeb vaishya hai
Is duniya mein kabhi kabhi insaan itna majboor ho jaata hai ... sivah iske ke woh apne aapko kismat ke havale karde ... aur kuch nahi kar sakta
Khuchal doonga, masal doonga, jala doonga, loota doonga ... rulaya mujhko kismat ne ... main duniya ko rula doonga
Hamare haath se naseeb waale hi marte hai
Meri zindagi mein aate toh kuch aur baat hoti ... yeh naseeb jagmate toh kuch aur baat hoti
Yeh dharti ek aaisi hatheli hai ... jis par kisaan hal chalakar, insaan ke taqdeer ki lakeerein kheenchta hai
Kismat hatheli mein nahi ... insaan ke baazuon mein hoti hai
Joh aadmi apne naseeb ko kosta rehta hai ... uska naseeb bhi usko kosne lagte hai
Mohabbat ki raah par chalne waalo ki taqdeer mein pyar ki hariyali nahi ... kaanto bhara raasta hota hai
Tahkhane ke bhaari darwaaze talwaron se nahi taqdeeron se khula karte hai
Taqdeerein badal jaati hai, zamana badal jaata hai, mulkon ki tarikh badal jaati hai, Shahenshah badal jaate hai ... magar is badalti hui duniya mein mohabbat jis insaan ka daaman thaam leti hai ... woh insaan nahi badalta
Deewana banana hai toh deewana bana de ... varna kahin taqdeer tamasha na bana de
Taqdeer buri ho toh ilm bhi dhaara reh jaata hai
Ulte seedhe daanv lagaye ... hans hans phenka paasa ... arre bhagya ki chaal bhi dekh deewane ... kaisa tujhko phaansa
Insaan har cheez se door bhaag sakta hai ... lekin apni kismat se nahi
Achcha dost aur achchi patni ... kismat waalon ko hi milti hai
Achcha dost aur achcha pati ... kismat waalon ko hi milta hai
Hum dono ek doosre ke itna nazdeek hote huye bhi, kitni door hai ... shayad issi ko naseeb kehte hai
Prithvi ka dil hai aur sanjogta ka pyar hai ... bas yahi tareekh hai, baki toh sab bekaar hai
Aulad ki taqdeer maa ke aasoonyon se hi chamakti hai
Kismat aadmi ko dokha de sakti hai ... lekin bhagwan aadmi ko dokha nahi deta
Duniya mein sab kuch ho sakta hai ... bani huyi kismatein bighadti hai ... aur bighadi huyi kismatein ban jaati hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
