dialogues for Tag:
Tag:
Mere ghar taash ka ghar hai ... jitni baar bhi banane ki koshish karta hoon ... utni baar toot jaata hai
Pushpa, mujhse yeh aasoon nahin dekhe jaate ... I hate tears
Zindagi ke kuch chakkar aaise hote hai jinka mazaa sirf wohi le sakta hai ... joh zindagi ka share jaan-buchkar ghaate mein khareede
Jiska mann saaf hota hai ... uski nazar bhi saaf hoti hai
Main joh chahta hoon woh paata nahi ... aur joh paata hoon woh sirf ek ittefaq hai
Naya kitna hi naya kyun na ho ... uski buniyaad purani hoti hai
Agar hum apne buzurgon ki nakhushi ki buniyaad par apni khushiyon ki imaarat khadi karenge ... toh woh zyada din nahi tik payegi
Mere aur tumhare darmiyan sirf itna faasla hai ... ki ek jhappad dunga aur tumhare yeh saare adarsh jiska tum log itna dum bharte rehte ho, bahar girke hawa mein gayab ho jayenge
Is duniya mein do taang waala janwar sabse khatarnak janwar hai
Zindagi mein kuch ehsaan aise bhi hote hai ... jinki keemat asal se zyada sood mein chukana padti hai
Aadmi ki khoobsurati uske kaam se pehchaani jaati hai ... uski shakal se nahi
Jab mann mein pachtava aata hai toh saare paap dhul jaate hai
Jab koi kisi ke liye bahut kuch karta hai ... toh ek naa bahut bada ghaav bhi lagati hai
Aaj tak tum bolte aaye aur main sunta aaya ... aaj main bolonga aur tum sunoge
Marte marte chela guru ko jeena sikha gaya
Anand mara nahi, Anand marte nahi
Maanta hoon ki zindagi ki taqat maut se zyada bhadi hai ... lekin yeh zindagi kya maut se bhattar nahi
Yeh bhi toh nahi keh sakta ... meri umar tujhe lag jaye
Babumushoi, zindagi aur maut upar waale ke haath hai ... usse na toh aap badal sakte hai na main ... hum sab to rangmanch ki kathputliyan hai jinki dor upar waale ki ungliyon mein bandhi hai
Insaan badal jaate hai ... insaano ke naam nahi badalte
Main tumhe tumse zyada jaanta hoon
Yeh toh main hi jaanta hoon ki zindagi ke aakhri mod par kitna andhera hai
Tum shamshaan mein bujhi chitta ki rakh mein zindagi dhoond rahi ho
Cancer ke keedon ke samne ... na meri zindagi ki koi keemat hai ... na tumhare aasuon ki
Duniya mein kisi ko gaali dena shayad paap na hoga ... lekin gareeb ko baar baar gareeb aur mohtaj ko baar baar mohtaj kehne se bada kukarma aur koi nahi hai
Saas kisi ki bhi ho ... sab ek jaisi hoti hai
Agar aadmi ko galati karne ka adhikar hai ... toh galati karke pachtane ka haq bhi hai
Meri zabaan se ughla hua zehar bhi amrut ban jaata hai
Hai Ram kya waqt aa gaya hai ... maa ki shiksha ka amrut bhi beti ko zehar lag raha hai
Har saas yeh bhool jaati hai ki woh bhi kabhi bahu thi ... aur har bahu yeh bhool jaati hai ki usse bhi ek din kisi ki saas banna hai
Jab paschatap nahi ... toh prayaschit bhi nahi
Jab yahan se jao, toh itne kalank saath lekar mat jaana ... jinhe Ganga maiya bhi na dho sakey
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
