Page 15 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag:

Tag:
15 (of 16 pages) | 32 (of 506 items)
1 14 15 16
Khuda meherban toh gadha pehelwan ... sambhal meri jaan ... ek hi vaar mein dikhaon Hindustan
Malik ne hamari mitti kuch special kisam ki banai hai ... ki jis saanche mein dalo wohi roop dharan kar leta hai ... agar tange mein behta do toh tangewaala ban jata hoon, agar hawaijahaz mein behta do toh pilot ban jata hoon ... masjid mein mulla, mandir mein pandit ... aur agar dil mein behta do toh dilwaala
Hindu Muslim Sikh Isai ... sabhi toh hai bhai bhai
Andhe paramatma ko pehchante hai ... aur aankhon waale aadhe ko bhi nahi pehchante
Dharam ki aag se dil ke chirag jalte hai ... bhatakne waale issi roshni mein jalte hai
by: Unknown
from: Nagin (1976)
code:
Nastik ko aastik banana uparwaale ka bayen haath ka khel hai
by: Prem Nath
from: Nagin (1976)
code:
Tum insaan ke roop mein devta ho ... yah devta ke roop mein insaan
Pyar devtaon ka vardaan hai joh sirf bhagyashaliyon ko milta hai
Bhagwan jab dukh dard devat hai ... toh saath saath sehan shakti bhi devat hai
Jisne sachche dil se Ramayan aur Gita ka paath kiya ho ... uske shabdon ki laaj bhagwan ko bhi rakhni padti hai
Raghukul reet sada chali aayi ... pran jaye par vachan na jayi
Sari duniya bhi joh thukraye toh kya hota hai ... jiska koi nahi hota uska khuda hota hai
Yeh husn Allah Allah, nazar tauba tauba ... ki ek hi jhalak mein khudai bhula di ... haseeno ne loota hum mein ... aur humne haseeno pe sari jawani luta di
Humne koi dharam khata nahi khol rakha hai ... hum jab kuch deta hai toh uske badle mein kuch leta bhi hai
by: Ranjeet
from: Keemat (1973)
code:
Yeh duniya bhagwan ka bank hai ... joh dharti pe jama karwayega ... woh swarg mein cash karwayega
Uparwaala bada dayalu hai ... jahan ek darwaza band karta hai, wahan sau darwaze khol deta hai
Pyar bhagwan hai ... lekin saath yeh bhi kahoongi, ki pyar mein joh shaadi na kare ... woh shaitan hai
Bhagwan ne insaan ko banaya hi aaise hai ki jab tak woh zinda hai ... usse jhoot aur lobh aur moh se koi mukti nahi
Devta ki mahaan shakti apne bhakton ki hamesha raksha karti hai
Har insaan joh paap se, zulm se ladta hai ... woh bhagwan ka hi toh roop hota hai
Bhagwan jab apni mutthi mein chand ko chupata hai ... toh suraj nikalta hai
Ya rab tu apni jannat ko rehne de apne paas ... humne zameen pe kar liya jannat ka nazara
Sau baar jahannam mein jalana ya rab ... jee chahe toh phansi pe chadana ya rab ... mashooq kahe humko buzurg ... woh din na dikhana ya rab
Insaan hona hi sabse oonchi zaat hai, sabse bada dharam, sabse nek mazhab
Rang aur roop toh bhagwan deta hai ... lekin uski hifazat karna apne haat mein hai
Bhagwan aur chahe kuch banaye ... par aadmi ko pagal na banaye
Bhagwan ki bhi kya leela hai ... kisse kiska saath kahan chhuda deta hai aur kahan mila deta hai
Bhagwan ki kaisi anokhi leela hai ... kabhi sab kuch cheen leta hai ... kabhi bahut kuch de deta hai
Jis roz ek chor doosre chor pe bharosa nahi karega ... uss roz bhagwan bhi Allah miya pe bharosa nahi karenge
Sui ke is chote se chhed mein se oont jaisa bhari bharkam janwar guzar sakta hai ... magar ishwar ke raj mein daulat ka pujari kabhi nahi ja sakta ... kyun ki wahan daulat ka koi mol nahi
Ishq jis mein basa nahi rehta ... aaise dil mein khuda nahi rehta
Main janta hoon joh kuch bhi isne kiya usse koi maaf nahi kar sakta ... bhagwan bhi nahi ... lekin ek maa maaf kar sakti hai
1 14 15 16

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.