Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag:

Tag:
1 (of 16 pages) | 32 (of 506 items)
1 2 16
Hum puja bhale hi Ram ki kare, lekin tevar Parshuram ke rakhte hai
Jab tumhare aas paas koi na ho, koi raasta na dikhe ... toh sab kuch us upar wale pe chhod dena ... kyun ki woh kabhi kisi ko khali haath nahi chhodta ... prayers have power
Yeh hamari lanka hai ... is lanka mein kadam rakhne se bhagwan bhi darta hai ... na koi bhagwan aaya hai ... na kabhi aa payega
by: Unknown
from: Jaat (2025)
code:
Rab apne bandhon ko bure waqt mein kabhi akela nahi chhodta ... himmat banke saath mein khada rehta hai
by: Sonu Sood
from: Fateh (2025)
code:
Jab khuda kisi ko banata hai na, toh us mein kuch khaas baat hoti hai ... lekin khuda ne Adaa ko banaya, issi liye ab woh khaas baat khuda mein hai
Prabhu agar prasan hai toh kya laaj samaaj ... is kavi kalash ke meet hai Sambhaji Shivraj
by: Unknown
from: Chhaava (2025)
code:
Zehar ke asardaar hone se kya farak padta hai ... maut aane ke liye khuda ki marzi bhi shamil honi chahiye
Upar wale ka karm aur duaon ka saaya jiske saath hai ... koi khatra kya bhigadega us bete ka, jis bete ke sar pe maa ka haath hai
Nange aadmi se upar wala bhi darta hai ... par doosra nanga nahi
Teri Ramayan ka Ravan hoon main
Jiske paas taqat hoti hai woh darr ko control karta hai ... aur joh darr ko control karta hai wohi khuda hota hai
Ravan ko Shri Ram se takrane ki himmat is liye mili, kyun ki woh Shri Ram ka bhakt tha ... aap se takrane ki himmat sir, mujhe aap se hi mili hai
Jab poori duniya karvat le rahi thi toh hamaro sanatan Hindu dharam daud riha tha
Rakh vishvas ... tu hai Shiv ka das
Jiski raksha ke liye joh chaal badal de kaal ka ... koi uska kya bhigade joh bhakht ho Mahakaal ka
Tune jitni Quran padhi hai na ... usse kayi zyada meri maa ne mujhe sunai hai, samjhayi hai
by: Unknown
from: Gadar 2 (2023)
code:
Namaz padhne ja rahe hai na aap ... toh Allah se apne liye dua maang lena ... mera babbe yahan na aaye ... kyun ki agar woh yahan aa gaya na, aur usne meri yeh halat dekh li ... toh tere itne chithde karega, itne chithde karega, itne chithde karega, tera poora Pakistan nahi gin payega
by: Unknown
from: Gadar 2 (2023)
code:
Hindustan Musalmano ka hai, Hindustan Christiano ka hai, Sikho ka hai, Hinduo ka hai ... har Hindustani ka hai ... aur in sabne milkar azaadi ki ladai ladi hai, qurbaniya di hai
Tyuadi zarooratein poori hon de vaad bhi, joh bhi tyvanu milta hai ... samajh lena Waheguru ne woh tyvanu kisi aur de vaaste ditta hai
Itna bhajan kirtan teri maa karti hai na ... toh mujhe darr hai ek din bhagwan khud prakat honge aur request karenge ... please yeh chamach dholak bajana band karo ... dev lok mein log soo nahi paa rahe hai
Shiksha bhagwan se hamari takkar hai ... kyun ki woh chahta tha ki hum usse takkar dein ... usne koi manual dekar humein dharti par nahi bheja tha ... humne karke seekha hai ... seb ko girta hua dekh kar gravity seekhi hai ... aur pani mein doobte huye jahaz ke tairne ka vigyan khoja hai
Mumbai police passport pe religion dekhkar goli nahi chalati ... criminal record dekhkar thokti hai
Ek fauji ke rutbe se bada koi aur rutba nahi hota ... vardi ki shaan se badi koi aur shaan nahi hoti ... aur apne desh se bada koi dharam nahi hota
Bachpan se har sacha sardar do hi cheez toh seekhta hai ... gurbani aur qurbani
Aurat ki joh izzat na kare woh har mard murga hai ... joh nau mahine kok mein paale woh Mariam hai, woh Durga hai
Shikayat apno se hoti hai ... aur shukriya uske alava main kisi ka nahi karta
Hinsa paap hai, magar bhagwan Krishna ne kaha hai ... kisi ki jaan bachane ke liye ki gayi hinsa dharam hai
Bahe khoon mera toh Hindustan ke liye ... agar jaaye meri jaan toh Hindustan ke liye ... ya Allah yehi toh aarzu hai meri ... aur ab main chahti hoon Allah tera karam aur tirange ka kafan
Jahan jahan sardar, wahan wahan gurudwara aur langar ... koi bhooka nahi marta
Chahe tere lab pe Waheguru da naam aave ya na aave ... lekin woh pal bhi ibadat da haunda hai jab tu kisi aur ke kaam aave
Maa ko bhagwan ka nahi ... bhagwan ko maa ka darja diya jaata hai
Problem aur solution ka faasla sirf ghutne aur zameen tak ka hota hai ... aur ek baar sajda kiya toh problems khatam
1 2 16

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.