Dialogues from Movies for Parties
Hum sirf apne baare mein soochte hai ... lekin ek fauji poore desh ke baare mein soochta hai
Hamare yahan jawaan marte nahi hai ... ya toh vijayi lautte hai ya amar
Bhagwa, safed, hara jeevan chakra mera ... karm, satya, dharti maa inhi mein main pala ... Bharatiya main jana, Bharatiya hi chala, Bharatiya main jeeyon, sada Bharatiya rahoon ... bhagwa, safed, hara jeevan chakra mera
Kabhi kabhi ek chota sa kadam zindagi bhar ki ek raah ban jaata hai
Jitne bhi phirangion ko tu jaanta hai na ... sabko bulale ... aur hai sabko kehna ki ek saath aaye ... ek ek karke aaoge na toh pitt jaoge
Aane waale kal ke liye umeedein karne se vadiya hai ... aasi aaj nu behtar banaye
Tere vaaste ek lakh jawaniyan ... par yeh jawani desh ke liye
Maa achchi hai ... apna khayal rakhti hai ... aur main desh ka khayal rakhta hoon
Shaant shaant ... is desh mein toh Gautam aur Gandhi ka naam hai ... yahan khroad aur hinsa ka kya kaam hai
Woh dekho desh ka neta ... arre mooh se bhi khaata, arre kaan se khaata ... iska yahan bhi khaata, iska wahan bhi khaata
Hansi mazak mein jhoot bolna aur baat hai ... lekin main zindagi mein jhoot bolkar kuch bhi haasil nahi karna chahta
Ab Rasul aayenge duniya mein na Ram aayenge ... sirf insaan hi insaan ke kaam aayenge
Commission mein kam se kam 100 crore kamayenge ... aur netagiri ki parampara nibhayenge
Apne badan pe chot lage toh saala janwar bhi rota hai ... insaan woh hai joh doosre ki chot ko mehsoos kar sake
Hair stylist hai na ... har cheez trim karke bolta hai
Aapke nas nas mein yeh shak ka virus ghus gaya hai
Shakal se tu kamina lagta hai ... akal se maha kamina hai
Jhoot pe jhoot ... jhoot pe jhoot ... teri maa ki
Saala, pehli mein chokri legaya ... doosri mein naukri
Behind every successful man there is a woman ... but behind every unsuccessful man are there two, three, many more
God great nahi hai ... woh great hai apne manne waalon se, apne chahne waalon se
Filmy gaane gayega toh paise kamayega ... varna upar waale ke naam par bhookha marr jayega
Taqdeer kharab ho toh oonth par baithe baune aadmi ke pair mein bhi kutta kaat le
Burre waqt ki ek baat achchi hoti hai ... ki woh bhi guzar jaata hai
Ragad ragad ke saaf karo ... mere haathon ko maaf karo
Mere pitaji ka kehna tha ki ... kaam jazbaat ke saath karo ... jazbaati hokar nahi
Vishvas aur ghamund mein bahut kum farak hai ... main kar sakta hoon, yeh mera vishvas hai ... sirf main hi kar sakta hoon, yeh mera ghamund
Bas ek haan ke intezaar mein raat yunhi guzar jayegi ... ab toh bas uljhan hai saath mere, neend kahan aayegi ... subah ki kiran na jaane kaunsa sandesh layegi ... rim jhim si gungunayegi ya pyas adhoori reh jayegi
Abhe jhandu ... CD ke zamane mein purani cassette bajhana band kar
Jitna kam sochogi ... utna zyada kamaogi
Fashion industry mein talent kam bhi ho toh chalta hai ... par agar attitude galat ho toh kuch nahi ho sakta
Yeh Mumbai hai ... yahan bhagwan mil jaata hai lekin ghar nahi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
