Dialogues from Movies for Parties
Teri zulfon ke pech-o-kham teri zindagi se kam nahi ... jitni sawariye utni ulajhti chali jaati hai
Main "gaa" bajhata hoon toh "saa" bajhta hai, main "paa" bajhata hoon toh "maa" bajhta hai ... yane ki main kuch bhi bajha saku, usse pehle meri bajh jaati hai
Dobara agar isne mere beete hue kal mein jhaankne ki koshish ki ... toh isse aane waala kal dekhna naseeb nahi hoga
Prayashchit insaan ke paapo ko mitta deta hai ... woh buzdil hote hai joh apne paapo ko mittane ke bajaye khud ko mitta dete hai
Jeet ki khushi zahir karna achi baat hai ... lekin maghroor hona munasib nahi
Galati sab karte hai ... lekin galati sudhaarne ka mauka sabko nahi milta
Jab sapne aur haqeeqat takrate hai ... toh sapne toot jaate hai
Pyar doosro ki jaan lena nahi hota ... pyar doosro ko jeene dena hota hai ... zindagi hota hai pyar, doosro ko khushi dena hota hai pyar
Main tumhe bahut pyar karta hoon ... itna jitna suraj karta hai apni kiranon se, chand karta hai apni chandni se, phool karte hai apni khushboo se
Aag lagane ke liye sirf ek maachis ki teeli bahut hoti hai ... magar usse bhujane ke liye shehar ka saara pani bhi kam padh jaata hai
Dharam aadmi ko khuda se aur aadmi ko aadmi se jodhta hai
Jahan jahan hum mohabbat karne waalon ka khoon girega ... hazaron deewane pehda honge
Koi bhi baat agar zor zabardasti se manvayi jaye ... chahe woh mazhab ke baare mein ho, apne aqeeday, apne imaan ke baare mein ho ... ya phir apne usoolon ke baare mein ho ... uska asar zyada der nahi rehta aur nateeja tabahi hi hota hai
Jab mohabbat ki aag dahek uthti hai na toh woh mandir aur masjid ki taraf nahi dekhta hai ... un aankhon mein sirf dekhta hai jinhe woh pyar karta hai
Tumko kya malum Shabnam guzarti kaisi hai meri raatein ... teri tasveer aankhon mein basaye bhatakta rehta hoon, karta hoon bas tumhari baatein ... tum shama ho Shabnam aur Manzoor parwana ... tumse lipatkar jalne ko tayaar hai deewana
Zindagi achche burre tajurbon ka silsila hai ... burre ko toh bhool jaana chahiye aur achche ko seene se lagake rakhna chahiye
Hum amir is liye hain ki kyun ki ... hum mein gareebon ko gareeb banaye rakhne ki technique aati hai
Humne chidiya ka naksha manga tha, chidiye ke ghosle ka nahi
Agar ye sach hai ... toh main isse jhoot sabit kar doonga
Har baimaan aur bure aadmi ke seene mein khauff bhar dena chahta hoon main
Bahadur toh sab hote hai ... main zara sa lucky hoon
Tum saans leti ho, toh mera dil dhadakta hai
Agar main marr gaya toh tu jee gaya ... agar main jee gaya toh tu marr gaya
Jis din tu isse zindagi dega ... main isse maut doonga, maut, sirf maut!
India mein woh bahut kuch hai joh America mein nahi ... sirf hum jaison ko dikhta nahi hai
Har nakamyab aadmi ke andar ek kavi chupa hi hota hai ... aur har kamyab kavi doosri sab cheezon mein nakamyab rehta hai
Patni har cheez ka batwara bardaash kar sakti hai ... lekin apne pati ka nahi
Nasha chahe kitna hi zyada kyun na ho ... ek din utarta zaroor hai
Premika banna bahut aasan hai ... biwi banna utna hi mushkil hai
Munna mobile kaan pe lagta hai, toh sab sun leta hai ... jab aankh ki TV kholta hai, toh sab dekh leta hai
Chokri samajh ke chhod raha hoon ... doobara nazar aayi na toh Sridevi ka poster bana ke deewar pe chipka doonga
Hamare dhande mein hamare saaye ko bhi pata nahi chalna chahiye ... ki hum kya karte hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
