Dialogues from Movies for Parties
Ladai ke maidan mein dushman kitna bhi khatarnak kyun na ho ... zakhmi sipahi apni jung khud hi ladta hai
Sacha sipahi kabhi hisaab nahi lagata ki desh ne usse kya diya hai ... woh hamesha yahi sochta hai ki usne apne pyare desh ke liye kya kiya hai
Oye guess kar ... chawani doonga
Har taj sarr ke liye hota hai ... lekin har sarr taj ke liye nahi
Pyar karne waalon ko pyar khud apna falsafa batata hai
Agar hum mile toh hamara muqaddar ... aur na mile toh hamari taqdeer
Pyar chhal nahi ... tyag hai, tapasya hai, pooja hai, prarthana hai, ibaadat hai, ardaas hai
Dil left mein hota hai magar hamesha right hota hai
Aankh ke andhe ko toh phir bhi thikana mil jaata hai ... akal ke andhe ko koi thikana nahi milta
Aapne insaan banaya achcha kiya, dil banaya bahut bura kiya ... aapne duniya banayi achcha kiya, magar aapne paisa banaya bahut bura kiya
Joh dil ke kareeb hote hai na ... unke rang, roop aur mahek kabhi nahi jaate
Pehle paisa insaan ke haath ki mail hua karta tha ... aur aaj insaan ke haath mail mein paisa dhoondte hai
Amiron ke gharon ki deewaron mein roshni aane ke liye bahut si khidkiyan hoti hai ... magar gareeb ke ghar mein toh roshni tabhi aati hai ... jab us bechare ke ghar ki deewar girti hai
Is sansar mein koi kisi ka malik nahi aur koi kisi ka naukar nahi ... sabka malik ek hai woh upar waala ... hum sab ussi ke naukar hai
Aapki nazaron mein paisa pyar aur bhagwan dono se bada hai ... aap samajhte hai joh madhurta paison mein hai woh Sharda ke sitar mein, Vishnu ke shank mein nahi ... aap samajhte hai joh sundarta paison mein hai woh Rati ki surat mein nahi, swarg ki jhanki mein nahi ... paise mein joh pavitatra hai woh Ganga ke pani mein nahi, Savitri ke daman mein nahi ... paise mein joh taqat hai woh maa ke aashirwad mein nahi, devtaon ke zubaan mein nahi ... satya, shiv, sundar sab paisa hai ... jiske paas paisa hai woh raja aur jiske paas paisa nahi woh Raju?
Woh is duniya se alag toh nahi ... lekin unka pyar is duniya se alag hai
Maine kisi devta ko nahi dekha ... par tumhe dekh ke aaisa lagta hai ki woh tumse alag nahi hoga
Oh tu rail gaddi vich paida hui thi? ... jab dekho Rajdhani Express ki tarah bhaagti hui nazar aati hai
Aurat 420 nahi, 840 hai ... aur mera aurat malum hai 1680
Goli chalate waqt na tum mujhse kahoge ki mujhe maaf kardo ... aur na main tumse kahoongi ki mujhe maaf kardo
Desh ki aan ke samne kisi ki jaan ki keemat kuch bhi nahi
Kadi se kadi milti hai toh ek zanjeer banti hai ... aaiye hum sab milkar ek zanjeer banaye ... tadbeer se in badnaseebon ki taqdeer banaye
Hindustani namak ki taqat hi kuch aur hai ... rupayon ki laalach aur maut ka darr bhi Hindustaniyon ko gaddari karne pe majboor nahi karta
Desh se badhkar koi nahi hai ... na rishtey, na naate, na sambandh, na koi bandhan ... iski mitti se mohabbat mera imaan hai, wafaadari mera karam ... is dharti ka dushman chahe bahar ho ya andar, chahe apna hi khoon ho ... uska sarvanash kar dena hi mera dharam hai, mera imaan hai, mera farz hai, meri puja hai ... mujhe yeh kasam hai, mujhe yeh kasam hai, mujhe yeh kasam hai
Ek nadaan dost se achcha hai ek chalaak dushman
Agar khul gaya yeh bhed ... toh aapki izzat mein ho jayega chhed
Tofha dekar chup rehne waale mahan hote hai ... tofha lekar chup rehne waale baimaan hote hai
Kuch nasoor itne ghinaune hote hai ki aadmi unka dard toh seh sakta hai ... magar unhe kisi ko dikha nahi sakta
Zamane bhar ki logon ki auladen pehda hokar paalne mein palti hai ... lekin hamari auladen seedhi kursi par behetti hai
Jab raajneeti ho dagabaaz ... toh janta maange military raaj
Ghar aaye mehmaan ko salute dekar uski izzat karna hamare desh ki parampara hai ... aur dushman ke ghar mein ghuskar usse phoond dena hamari army ki shaan hai
Uparwaale ne daulat aur khane ka muqaddar alag alag kaagazon pe likha hua hai ... jisko daulat zyada deta hai uska khana kam kar deta hai ... jisko khana zyada deta hai uski daulat kam kar deta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
