Page 348 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

348 (of 459 pages) | 32 (of 14664 items)
1 347 348 349 459
Mummy daddy meri shaadi karva rahe hai ... Sunday ko ladke waale ghar aa rahe hai ... meri baraat mein tum bhi aao ... koi pyara sa tofha lao ... jee na jalao
Tujhe imaandari ki khujli lag gayi hai ... zindagi bhar khujate khujate mar jayega ... lekin haath tere kuch nahi aayega
Janbaaz kalakaron se nahi hai duniya khali ... is mard ke liye bajao ek baar zordar taali
Tujhe aaisi maut doonga ... ki teri kriya-karam ke liye tujhe kisi cheez ki zaroorat na padhe
Joh Bhaiji ka parda phaash karta hai ... Bhaiji uske pet ka parda phaad dalta hai
Kutte kabhi sher ka shikaar nahi karte ... sher jab dahadta hai toh kutte bhaukana bhool jaate hai
Aag, pani aur Bhaiji ke saath nahi khelna ... aag jalata hai, pani doobata hai aur Bhaiji tadpata hai
Baap, baap hota hai ... beta dus janam lene ke baad bhi baap ka baap nahi ban sakta
Supari ka paisa kha jaane wale ko ... Shiva supari ki tarah kha jaata hai
Main apne shikaar ko kabhi sote hue nahi maarta ... jagakar maarta hoon ... taki marte waqt usse shikayat na rahe ke maine usse apni zindagi bachane ka mauka nahi diya
Kriya karam ka samaan koi bhi khareed ke laye ... magar kaam uske aata hai jiska waqt aaya ho
Janam ka pata nau mahine pehle chal jaata hai ... magar marne ka pata nau second pehle bhi nahi chalta
America ki police ko khoon hone ke do ghante ke paschat pata chalta hai ... aur Roos ki police ko sadhe-teen ke paschat ... aur Cheen ki police ko che ghante ke pashcat ... magar hamari police ko khoon hone ke chaubees ghante pehle pata hota hai ki ... kab, kahan, kis vyakti ka khoon hone waala hai ... aur kaunsa manushya is shubh kaarya ko sampan karne waala hai
Tum jaise logon ko ek baar maaf karna ... doosri baar galati karne ka mauka dena hai
Hum jaise lakhon naujawanon ke bhavishya ke liye, is samaaj ki bhalai ke liye, saare desh ki ekta ke liye ... tum jaise log cancer ho ... sharafat ke libaas mein chupe hue gunde ho ... jinhone aaj ke is raaj ko bana diya hai goondaraaj
Main zindagi mein bahut kam faisle karta hoon ... lekin ek baar faisla kar loon toh woh pahaad se bhi zyada atal hota hai
Aaj main tujhe tab tak maaroonga ... jab tak tu apni arthi par letne ke kaabil nahi ho jaata
by: Sanjay Dutt
from: Yodha (1991)
code:
Main goli aur boli dono zubaane jaanta hoon
by: Sunny Deol
from: Yodha (1991)
code:
Dimaag ki charbi ke saath saath main badan ki charbi bhi nikal deta hoon
by: Sunny Deol
from: Yodha (1991)
code:
Jis din sahi mauka mila main us haramzade ko barbaad kar doonga ... aur phir log meri izzat karenge, mere paas kursi hogi, taqat hogi ... kanoon mera ghulam hoga aur kanoon ki devi meri rakhail
Zindagi ke imtehan mein aaise mauke bhi aate hai ... jab insaan ko sachchai chupani padti hai
by: Sunny Deol
from: Yodha (1991)
code:
Noton ki gaddiyan mooh mein lekar bhaunkne waalon ki ... hum mein koi parwah nahi
by: Sunny Deol
from: Yodha (1991)
code:
Kanoon tere haathon ka khilona hai ... khoon karna tera pesha hai ... gharon ko barbaad karna tera karam hai ... duniya mein makkari phailana tera dharam hai ... tu laathi se nahi goliyon ke dum par is duniya mein jee raha hai
by: Sunny Deol
from: Yodha (1991)
code:
Kisse, kab aur kaise ... is jahan se doosre jahan mein bhejna hai ... is baat ka faisla main karta hoon
Maut roz toh nahi aati, sirf ek baar aati hai ... aur uska din aur samay bhagwan muqarar karta hai ... darwaaze pe cheekne waala dushman nahi
by: Sunny Deol
from: Yodha (1991)
code:
Gunehghar aur mujrim ka rishta ya kanoon se hota hai ... ya phir bandook ki goli se
by: Sanjay Dutt
from: Yodha (1991)
code:
Chal padhe jidhar bhi ek pag ... chal padhe hazaron pag ussi aur ... gadh gayi jidhar bhi ek drishti ... gahd gaye hazaron drig ussi aur
Jab ek ki doosre se ranjish ho, usse dushmani kaha jaata hai ... aur jab do yodha mil jaye, usse jung ka elaan
by: Sunny Deol
from: Yodha (1991)
code:
Jab koi ladki jala di jaati hai us waqt mera mann karta hai ki ... is samaaj ko purane akhbaar ki tarah raddi ki tokri mein daal doon
Gawahi na kisi ke haq mein hoti hai na kisi ke khilaaf ... gawahi toh gawahi hoti hai
Jis shaadi ka aadhaar prem na ho, maan samaan na ho ... woh shaadi shaadi nahi ... balki hamari sanskriti ka apmaan hai
Beti toh baap ki jhuki hui gardan ka ek aur naam hai
1 347 348 349 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..