Dialogues from Movies for Parties
Bewafaa tujhko pukarenge zamane waale ... na chura aankh mere dil ko churane waale
Aapki kitni sachi paakh mohabbat hai ... arre sach kehte hai kehne waale, sach ko hamesha rahat hai
Havas ek aaisi aag hai joh bujhane se aur badhakti hai ... aur anjaam yeh hota hai ki aag bujhti nahi hai ... magar bujhane waala jalkar raakh ho jaata hai
Jiske dil mein Allah ka noor hota hai ... woh andha hokar bhi sab kuch dekh sakta hai
Ulfat ke raaste mein na deewar koi aaye ... jaise mile hai hum, khuda sabko yunhi milaye
Tumhari oonchi shakhsiyat ... aur sharifana libaas ke peeche chupe shaitan ko main pehchaan chuka hoon
Is chot ko apne dil aur dimaag par kayam rakhna ... kal yahi aasoon kranti ka sailaab bankar is mulk ki sari gandagi ko baha le jayenge
Joh zindagi mujhse takrati hai ... woh sisak-sisakar dum todhti hai
Jakar dumm hilana unke samne ... talwe chatna ... botiyaan phekenge botiyaan!
Woh aayega, zaroor aayega ... aur apne saath ek aaisa toofan layega ... jisse tumhari yeh maut ki factory, reth ke gharonde ki tarah deh jayegi
Main tera woh hashar karoonga ... ke tujhe apne pehda hone par afsoos hoga
Andhe behron ka shehar hai yeh ... patthar hai yeh sab ke sab ... yahan toh bas sarr phoda ja sakta hai
Rishwatkhori aur makaari ne tum logon ke jism mein maa ke doodh ke asar ko khatam kar diya hai
Aane waale chaubis ghanto mein tumhare chaubis tukde karke ... har tukde ka alag alag antim sanskar karoonga
Jakh marti hai police, utaar kar phenk do yeh vardi aur pehan lo Balwant Rai ka patta apne gale mein ... you bastards
Insaan toh is duniya mein ek doosre ki hamdardi ke liye hi paida hua hai
Kulhaari ko pair pe maaro, ya pair ko kulhaari pe maaro ... har halat mein pair hi katne waala hai
Bhagwan ka banaya hua sansar ek aisa bazaar hai ... jahan insaan ka kiya hua hisaab usse yahin chutta karke jaana padta hai
Zindagi mein kabhi izzat mat khona
Jis ghar mein naari jaati ko maan diya jaata hai, izzat di jaati hai ... us ghar mein devta baste hai ... aur jis ghar mein naari jaati ka apmaan hota hai ... us ghar mein rakshash rehte hai
Bade ghar ka damaad banna, jaise topi ko sar se utaar ke pairo mein pehenna
Cancer ka ilaaj hai iss duniya mein ... lalach ka nahi hai
Zulm ko insaaf ki chakki mein pisne ka waqt aa gaya hai
Sharifon ki izzat paison se zyada keemti hoti hai
Bahut khush hona bhi achchi baat nahi hai ... aasoon nikal aate hai
Jab baat apni maut ki aati hai na ... toh aadmi ke dimaag ki sari khidkiyan khul jaati hai
Mujrim kitni bhi hoshyari kare ... saboot ko zameen ki kok mein dafan kyun na karde ... lekin ek na ek din uska gunaah uske samne aaine ki tarah khada ho jaata hai
Yaar yeh ladki hai ya tezaab banane ka formula?
Apna toh seedha hisaab hai ... pati toh pati, varna rakhi ready
Joh thappad dikhayi nahi deta ... woh zyada gehri chot karta hai
Is chaku se aaj tak kaddu, tinde aur tamatar katte aaye hain ... lekin aaj, aaj main katunga
Makaan tha kabhi, ab khandar viran lagta hai ... tera thopda Panipat ka maidan lagta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
