dialogues for Tag:
Tag:
Ehsaas badal jaane se taqdeer badal nahi jaati
Jinhe woh aazmate hai, star woh ban jaate hai ... dilon mein zamaane ki, aag woh lagate hai
Rishtey zindagi ke liye hote hai ... zindagi rishton ke liye nahi
Bandhan rishton ka nahin ... ehsaas ka hota hai
Zindagi mein kuch aise rishte ban jaate hai ... jinhe hum samajhte toh hai, lekin samajhna nahi chahte
Khamoshi bhi ajeeb hai, kahin toh ek ajeeb sa rishta ban jaati hai ... lekin agar rishton mein aa jaye, toh ghutan ban jaati hai
Sapne wahi dekhna jinki ijaazat ho ... warna taqleef hoti hai
Kaash hum zindagi ko bhi forward karke dekh sakte
Main koi cheez tukdo mein pasand nahi karta ... I want everything completely my own
Sapne aur haqeeqat mein sirf palak khulne aur band hone ka farak hota hai ... palak band toh sapna, khuli toh haqeeqat
Aadmi sabse peecha chudha sakta hai ... par apni parchaiy se nahi
Sapne dekhna aur sapno ka pura ho jaana ... bahut alag baatein hai
Meri khushiyo ki umar hamesha ki tarah is baar bhi kam hi thi
Kabhi kabhi ek aadmi ka sahi ... doosre ka galat ho sakta hai
Sahi aur galat ke beech faisla karna bahut aasaan hai ... lekin do sahi raasto mein se behtar chunana aur do galat raasto mein se munasif ... yahi hamari zindagi ke faisle karte hai
Hum aaj joh faisla karte hai ... wahi hamare kal ka faisla karega
Insaan ki khwaish ki koi inteha nahi ... do gaz zameen chahiye do gaz kafan ke baad
Mujhe jahan pahunchna hai uske liye yeh raftaar bahut zaroori hai
Kuch kaam aaise hote hai jin mein fayda yah nuksaan nahi dekha jaata ... bus unhe karna zaroori hota hai
Parchai bolti kahan hai ... sirf chalti hai chup chap
Chor ko sirf chori karte hue pakda ja sakta hai ... na uske pehle, na uske baad
Haadse batakar nahi hote
Bhuvan Panda gardan katwana pasand karta hai ... magar naak katwana asambhav
Jis maathe par ek baar kalank lag jaata hai ... wahan maang ka teeka shobha nahi deta
Kapdan par laga daag toh jaag aur sabun se mitt jaat hai ... par jawani par laga daag zindagi bhar nahi chutat hai
Duniya ki sabse oonchi imaarat ban jaane ke baad apne naam se pehchani jaati hai ... usse banane waalon ke naam se nahi
Har bachche mein ek bhagwan ka roop hota hai
Kya yeh theek hai ki paramparaen banane waala insaan hi paramparaon ki bali chadta rahe ... paramparaen jeeye insaan marta rahe ... paramparaen badi zindagi kuch bhi nahi hai?
Aksar yeh bhi hota hai ki jagah ki dooriyan ... rishton ko aur bhi mazboot bana deti hai
Kisi ko khush karne ke liye samjhauta karna insaan ki sabse badi kamzori hoti hai
Mere liye zindagi mein na pyar ki jagah badal sakti hai na dosti ki ... dono ki jagah alag alag hai ... lekin tumne to dosti mein hi pyar ki milavat shuru kar di
Paramparaon ki lakeerein jab dhundli padh jaati hai ... toh nayi lakeerein kheenchne se parhez nahi karna chahiye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
