Dialogues from Movies for Parties
Jahan sher ki hukumat chalti hai ... wahan chote mote janwaro ka aana jaana mana hai
Is dil ne itne dukh uthaye hai ... ki sukh dokha lagta hai
Naseeb insaan ka banta hai thokarein khane ke baad ... aur rang lati hai henna patthar pe pis jaane ke baad
Yeh shehar ab jungle ban gaye hai ... yahan din ko insaan aur raat ko shaitaan ghumte hai
Daulat se bistar khareeda jah sakta hai, neend nahi ... aurat khareedi jah sakti hai, pyar nahi ... jhoot kareeda jah sakta hai, sachchai nahi
Seedhi sachi baatein karne ke liye kaleja chahiye
Jis tarah vidhata ka likha taqdeer koi nahi badal sakta ... us hi tarah suhagan ka mangalsutra bhi koi nahi todh sakta
Aapke chehre ko dekhne ke baad aate hue idea vapas chale jaate hai
Gaadi mein bithao driver ban jaonga ... peeche bithao cleaner ban jaonga ... gaadi bighade toh usse dhakka lagaonga ... aur tumhe koi chhede toh uska khoon pee jaonga
Mujhse baimaani mat karna main bahut pahuncha hua aadmi hoon ... baimaani mein shaitan ko tuition deta hoon
Maa bhi bhagwan ne duniya mein ek nirali hi cheez banayi hai ... janam dene se lekar bete ki aakhri saans tak, har gadhi yeh hi kehti hai ... "jug jug jiyo beta, jug jug jiyo"
Daulat waalon se kabhi dil lagana nahi chahiye ... woh kapde aur gadiyon ki tarah dil bhi badalte rehte hai
Jeevan ek sapna hai, duniya ek maya hai ... yeh main nahi kehta hoon, yeh vedon ne bataya hai
Angdhai na lena aaise haathon ko uthakar ... seene se tere dekh dupatta na satak jaye
Joh mazaa apne bete ko jawan hote dekhkar aata hai ... woh apni jawani mein bhi nahi aata tha
Uthade parda, dikha de jalwa ... boondi ke ladoo, gajar ka halwa
Aap kare aaram hum kare vishram ... aam ke aam guthliyon ke daam
Sau saal yehi dialogue natakon aur filmon mein pitt raha hai ... lekin jab bhi bola gaya hai, hit raha hai
Hazaaron ladkiyan hamare ghar ke bahar ghaslet ki line ki tarah hum mein pati banane ke chakkar mein khadi rehti hai ... aur tum hum mein pati banane ke bajaye vanaspati banana chahti ho
Duniya ek stage hai, zindagi uska drama hai, insaan keval naam-matra actor hai aur maut uska parda hai
Samajh samajhke samajh ko samajho toh samajhna bhi ek samajh hai ... samajh gaye?
Bade logon ke haath nahi alfaaz istamal hote hai ... jinke ishaare par chote log choriyan karte hai
Hum do hamare do, teesra kabhi na ho ... patni se bhaiya door raho, kitni bhi adhchan ho
Khat kabutar kis tarah le jaye bam-e-yaar par ... par kattarne ke liye hai kaichiyan deewar par ... jawab hai ki khat kabutar is tarah le jaye bam-e-yaar par ... khat ka mazmoon ho paron par, par katte deewar par
Ek ladki jab saari bandkar, gale mein phoolon ka haar dalkar, ladke ke saath apna pallu bandkar agni ke saat phere leti hai ... toh woh phere uski zindagi ko phira dalte hai
Manushya ko makhan mein baal ki tarah, samudra mein jaal ki tarah aur yudh mein dhaal ki tarah rehna chahiye
Thair paapi ... main teri zubaan kheench ke loonga
Shaant gadadhari Bheem, shaant
Thoda khao, thoda pheko
Maine cheer haran ka idea drop kar diya hai
Sharabi toh sharabi ki madad karega
Desh ki unnati ki pehchaan, agar kisi cheez se hoti hai ... toh woh hai gutter
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
